urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Aadat~Khoo : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Aadat or (Khoo) aadatan tum ne kar diye waade aadatan ham ne aitbaar kiyaa [Gulzar] aadat sii banaa lii hai tum ne to "Munir" apanii jis shahar meN bhii rahanaa ghabaraaye hue rahanaa [Munir Niazi] ham bhii tasleem kii Khoo DaaleNge beniyaazii terii aadat hii sahii [Mirza Ghalib] marane ke waqt bhii merii aaNkheN khulii rahiiN aadat jo par ga_ii thee tere intazaar kii [Unknown] aadat sii hai nashaa na ab kaif paanii na piyaa sharab pii lii [Riaz Khairabadi] lazzat kabhii thii ab to museebat sii ho ga_ii mujh ko gunaah karane kii aadat sii ho ga_ii [Bekhud Dehlvi] kuchh ho lekin ye merii aadat hai jab vo aayeN to muskuraa denaa [Josh Malihabadi] Khoo (aadat) ranj se Khoogar huaa insaaN to miT jaataa hai ranj mushkileN mujh par paRii itanii ke aasaaN ho ga_iiN [Mirza Ghalib] ham bhii tasleem kii Khoo DaaleNge beniyaazii terii aadat hii sahii [Mirza Ghalib] sohabat meN Gair kii na paRii ho ye Khoo kahiiN dene lage haiN bose baGair iltajaa kiye [Mirza Ghalib] zid kii hai aur baat magar Khoo burii nahiiN bhoole se us ne saikaRoN waade wafaa kiyaa [Mirza Ghalib] woh apanii Khoo na chhoReNge, ham apanii vaza'a kyoN chhoReN subuk sar ban ke kyaa puchheN, ki ham se sargiraaN kyoN ho [Mirza Ghalib] betalab deN to mazaa us meN sivaa milataa hai wo gadaa jis ko na ho Khoo-e-sawaal achchhaa hai [Mirza Ghalib] [betalab = without asking; gadaa = beggar; Khoo = habit] tumhiiN kaho ki guzaaraa sanam parastoN kaa butoN kii ho agar aisii hii Khoo to kyoNkar ho [Mirza Ghalib] milatii hai Khoo-e-yaar se naar iltihaab meN kaafir hooN gar na milatii ho raahat azaab meN [Mirza Ghalib] [Khoo-e-yaar = lover's nature/behavior/habit, naar = fire] [iltihaab = flame, azaab = sorrow] allaah re! terii tundii-e-Khoo jis ke beem se azzaa-e-naalaa dil meN mere rizqe-ham hue [Mirza Ghalib] [tundii-e-Khoo = habit of aggressiveness; beem = terror] [azzaa-e-naalaa = pieces of screams; rizq = subsistence] vo bad Khoo aur merii daastan-e-ishq tuluaaniii ibaarat muKhtasar, qaasid bhii ghabaraa jaaye hai mujh se [Mirza Ghalib] [bad Khoo = a person with bad habits; tulaanii = long;] [ibaarat = composition; qaasid = messenger] dil-e-begaanaa-Khoo, duniyaa meN teraa ko_ii ham_dam ko_ii ham_raaz bhii hai [Arsh Malsiyani] [dil-e-begaanaa-Khoo = heart which is used to belonging to others] ushaaq ke dil naazuk us shoKh kii Khoo naazuk naazuk isii nisbat se hai kaar-e-muhabbat bhii [Hasrat Mohani] [ushaaq = lovers; khoo = habit; naazuk = delicate] [nisbat = related to this/due to this; kaar-e-muhabbat = task of love] yooN arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil paanii hote haiN tum laakh razaa kii Khoo Daalo kab Khoo-e-sitam_gar jaatii hai [Faiz Ahmed Faiz] tum agar apanii Khoo ke ho maashooq apane matalab ke yaar ham bhii haiN [Daag Dehlvi] apane Khoo-e-wafaa se Darataa hooN aashiqii baNdagii na ho jaaye [Bekhud Dehlvi] Khudaa jaane kyaa hogaa anjaam is kaa maiN besabar itanaa hooN wo tuNd Khoo hai [Khwaja Mir Dard] kyaa sabab too jo bigaRtaa hai 'Zafar' se har baar Khoo terii hoor-e-shamaa_il kabhii aisii to na thii [Bahadur Shah Zafar] [sabab = reason] koochaa-e-yaar meN jaane kii kabhii Khoo na ga_ii ThokareN khaa ke bhii sambhale na sambhalane waale [Mohammed Ali Nazir] raazii-wa-razaa ham haiN bahar-haal magar haaN Dar hai ki ye Khoo tum ko sitam_gar na kar de [Hasrat Mohani] nahiiN yaa sanam 'Momin' ab kufr se kuchh ke Khoo ho ga_ii hai sadaa kahate kahate [Momin Kham Momin] na dilaasaa na tashaffii na tasalli na wafaa dostii us but-e-bad_Khoo se nibaaheN kyoNkar [Daag Dehlvi] us balaa-e-jaaN se "aatish" dekhiye kyoNkar nibhe dil siwaa sheeshe se naazuk dil se naazuk Khoo-e-dost [Haider Ali Aatish]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah