urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Bazm : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



bazm mujh tak kab un kii bazm meN aataa thaa daur-e-jaam saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab meN [Mirza Ghalib] vo ek mulaaqaat meN hairaan kar gayaa vo bazm se gayaa aur veeraan kar gayaa [Unknown] bazm meN aao kisii din kar ke tum solaah singaar ek qayaamat waqt se pehale bhii aanaa chaahiye [Murad Lucknawi] wo aaye bazm meN itanaa to 'Meer' ne dekhaa phir is ke baad chiraaGhoN meN raushanii na rahii [Meer Taqi Meer] abhii se hosh uRe maslihat_pasandoN ke abhii maiN bazm meN aayaa abhii bolaa kahaaN [Unknown] raunaq-e-bazm ban gaye lab pe hikaayateN rahiiN dil meN shikaayateN rahiiN lab na magar hilaa sake [Hafeez Jalandhari] bazm-e-anjum hoke bazm-e-Khaak taa bazm-e-Khayaal jis jagah jaao sunaa_ii degii insaanoN kii baat [Wamiq Jaunpuri] jamaa kar leejiye GhamzoN ko magar Khuubi-e-bazm bas wahiiN tak hai ke baazaar na hone paaye [Shibali] us bazm meN mujhe nahiiN banatii hayaa kiye baiThaa rahaa agarche ishaare huaa kiye [Mirza Ghalib] buu-e-gul naalaa-e-dil dood-e-charaaGh-e-mehfil jo terii bazm se nikalaa so parishaaN nikalaa [Mirza Ghalib] ek aaNsoo ne Duboyaa mujh ko un kii bazm meN booNd bhar paanii se saarii aabaroo paanii hu_ii [Zauq] jo terii bazm se uTThaa wo is tarah uTThaa kisii kii aaNkh meN aaNsoo kisii ke daaman meN [Unknown] uTh kar to aa gaye haiN terii bazm se magar kuchh dil hii jaanataa hai kis dil se aaye haiN [Faiz] phir nazar meN phool mahake dil meN phir shameN jaleeN phir tasavvur ne liyaa us bazm meN jaane kaa naam [Faiz Ahmed Faiz] dil leke un kii bazm meN jaayaa na jaayegaa ye mudda_ii baGhal meN chhupaayaa na jaayegaa [Daag Dehlvi] dil-e-muztar se poochh ai raunaq-e-bazm maiN Khud aayaa nahiiN laayaa gayaa hooN [Shad Azeemabadi]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah