urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Bewafa : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



bewafaa / bewafaa_ii har ek se kahate haiN ke "Daag" bewafaa nikalaa ye poochhe in se ko_ii wo Gulaam kis kaa thaa [Daag Dehlvi] tum bhi majaboor ho hum bhi majaboor haiN be-wafaa kaun hai baa-wafaa kaun hai [Bashir Badr] har kisii se maaNgate haiN ye wafaaoN kaa saboot bewafaa jab se wafaadaaroN ke maalik ho gaye [Manzar Bhopali] [saboot = proof] ham se sharmaataa hai aa_iinaa muqaabil aakar bewafaa haiN na munaafiq na adaakaar haiN ham [Manzar Bhopali] [muqaabil aanaa = to confront/come face to face with] [munaafiq = hypocrite/infidel; adaakaar = actor] baGair us bewafaa se jee lagaaye jo sach poochho to dil kis kaa lage hai [Kaleem Aajiz] insaan apane aap meN majaboor hai bahut ko_ii nahiiN hai bewafaa afsos mat karo [Bashir Badr] aisaa bhii nahiiN ke wo lauT kar na aayegaa bewafaa wo sahii par itanaa bhii nahiiN [Zor Dakkani] bewafaa_ii kaa ab gilaa kaisaa aap pahale bhii kab hamaare the merii aaNkhoN meN phailate hue rang kal talak aap ko bhii pyaare the [Unknown] [gilaa = complaint; kal talak = till yesterday (in the past)] hameN bhii dostoN se kaam aa paRaa yaanii hamaare dostoN ke bewafaa hone kaa waqt aayaa [Harichand Akhtar] haaN wo nahiiN Khudaa_parast, jaao wo bewafaa sahii jis ko ho deen-o-dil azeez us kii galii meN jaaye kyooN [Mirza Ghalib] [parast = worshipper; deen = religion; azeez = dear] phir usii bewafaa pe marate haiN phir wahii zindagii hamaarii hai [Mirza Ghalib] barase baGair hii jo ghaTaa ghir ke khul ga_ii ek bewafaa kaa ahad-e-wafaa yaad aa gayaa [Khumar Barabankvi] [ahad = promise] bewafaa tum kabhii na the lekin ye bhii sach hai ki bewafaa-se rahe [Javed Akhtar] ye adaa-e-beniyaazii tujhe bewafaa mubaarak magar aisii beruKhii kyaa ki salaam tak na pahuNche [Shakeel Badayuni] ham baawafaa the is liye nazaroN se gir gaye shaayad tumheN talaash kisii bewafaa kii thii [Unknown] nahiiN shikawaa mujhe kuchh bewafaa_ii kaa terii har_giz gilaa tab ho agar tuune kisii se bhii nibhaa_ii ho [Khwaja Meer Dard] wafaa tujh se ai bewafaa chaahataa hooN merii saadagii dekh kyaa chaahataa hooN [Hasrat Mohani] Gam to ye hai ki wo ahad-e-wafaa TooT gayaa bewafaa ko_ii bhii ho tum na sahii ham hii sahii [Rahi Masoom Raza] Note: The above sher also appears as Gam to is kaa hai ki wo ahad-e-wafaa TooT gayaa bewafaa ko_ii bhii ho tum na sahii, ham hii sahii [Rahi Masoom Raza] aashiqii meN bahut zaroorii hai bewafaa_ii kabhii kabhii kar lii [Bashir Badr] mare jaate haiN terii bewafaa_ii dekhane waale chiraaG-e-subah hai shaam-e-judaa_ii dekhane waale [Daag Dehlwi] "Daag" kyooN tum ko bewafaa kahataa wo shikaayat kaa aadamii hii nahiiN [Daag Dehlwi] terii bewafaa_iyoN pe terii kaj_adaa_iyoN pe kabhii sar jhukaa ke roye kabhii mooNh chhupaa ke roye [Saifuddin Soz] Khud apane aap ko parakhaa to ye nadaamat hai ke ab kabhii use ilzaam-e-bewafaa_ii na dooN [Ahmed Faraz] [nadaamat = shame] aa ke ab tasleem kar leN tuu nahiiN to main sahii kaun maanegaa ke ham meN bewafaa ko_ii nahiiN [Ahmed Faraz] aafatoN meN jaan-o-dil kaa Daalanaa bekaar hai bewafaa se dil lagaakar kyaa ko_ii phal paaye hai [Jurrat] aap ko bhool jaayeN ham itane to bewafaa nahiiN aap se kyaa gilaa kareN aap se kuchh gilaa nahiiN [Tasleem Fazli] ab na deeje zafar kisii ko dil ki jise dekhaa, bewafaa dekhaa [Bahadur Shah Zafar] baRii zaalim nihaayat bewafaa hai ye duniyaa phir bhii kitanii Khush_numaa hai [Naresh Kumar Shad] bewafaa bhii ho sitamagar bhii jafaa peshaa bhii ham Khudaa tum ko banaa leNge tum aao to sahii [Mumtaz Mirza] bewafaa likhate haiN wo apanii kalam se mujh ko ye wo qismat kaa likhaa hai jo miTaa bhii na sakooN [Ameer Minai] bewafaa to na wo the na ham yooN huaa bas judaa ho gaye [Nida Fazli] bewafaa tuune mujhe pyaar kiyaa hii kyooN thaa sirf do-chaar sawaalaat kaa mauqaa de de [Qaiser ul Jafri] dil liyaa jis ne bewafaa_ii kii rasm hai kyaa ye dil_rubaa_ii kii [Shefta] door se thaa wo ka_ii cheharoN meN paas se ko_ii bhii waisaa na lagaa bewafaa_ii bhii usii kaa thaa chalan phir kisii se hii shikaayat na hu_ii [Nida Fazli] ham aksar dostoN kii bewafaa_ii sah to lete haiN magar ham jaanate haiN dil hamaare TooT jaate haiN [Roshan Nanda] ho jis adaa se mere saath bewafaa_ii kar ke tere baad mujhe ko_ii bewafaa na lage [Qaiser ul Jafri] is meN kuchh un kii jafaayeN bhii to shaamil haiN shamiim bewafaa_ii kii jo tohamat mere sar aa_ii hai [Shamim Jaipuri] is puraanii bewafaa duniyaa kaa ronaa kab talak aa_iiye mil jul ke ik duniyaa na_ii paidaa kareN [Nazeer Banarasi] is qadar musalsal thiiN shiddateN judaa_ii kii aaj pahalii baar maiN ne us se bewafaa_ii kii [Ahmed Faraz] is se pahale ke bewafaa ho jaayeN kyoN na ai dost ham judaa ho jaayeN [Ahmed Faraz] is se pahale ki saadagii terii lab-e-Khaamosh ko gilaa kah de terii majabooriyaaN na dekh sake aur dil tujh ko bewafaa kah de [Saifuddin Saif] jab mere saare charaaG-e-tamannaa hawaa ke haiN jab mere saare Khwaab kisii bewafaa ke haiN [Jaun Eliya] jee meN aataa hai ke us shoKh-e-taGaaful kesh se ab na miliye phir kabhii aur bewafaa ho jaa_iye [Hasrat Mohani] jis ko sab be-wafaa samajhate hoN bewafaa_ii usii se mushkil hai [Ahmed Faraz] jo ye daur bewafaa hai tera Gam to mustaqil ho wo hayaat-e-aashiqii kyaa jo dawaam tak na pahuNche [Yahya Jasdanwalla] kaam aa sakiiN na apanii wafaayeN to kyaa kareN ik bewafaa ko bhool na jaayeN to kyaa kareN [Akhtar Sheerani] kabhoo jaayegii udhar sabaa to ye kahiyo us se ki bewafaa magar ek meer-e-shikastaa-paa tere baaG-e-taazaa meN Khaar thaa [Meer Taqi Meer] kisii bewafaa kii Khaatir ye junooN faraaz kab tak jo tumheN bhulaa chukaa hai use tum bhii bhool jaao [Ahmed Faraz] maiN chaahataa bhii yahii thaa wo bewafaa nikale use samajhane kaa ko_ii to silsilaa nikale [Wasim Barelwi] mujhe mere miTane kaa Gam hai to ye hai tumheN bewafaa kah rahaa hai zamaanaa [Qamar Jalalwi] na jaane kyaa hai us kii bebaak aaNkhoN meN wo mooNh chhupaa ke jaaye bhii to bewafaa lage [Qaiser ul Jafri] naqsh-e-deewaar kyooN na ho aashiq hairat_afazaa hai bewafaa kii adaa [Wali Deccani] paayiye kis jagah bataa aye but-e-bewafaa tujhe umr-e-guzashtaa kii tarah gum hii sadaa suraaG hai [Khwaja Mir Dard] payaam aaye haiN us yaar-e-bewafaa ke mujhe jise qaraar na aayaa kahiiN bhulaa ke mujhe [Ahmed Faraz] phir usii bewafaa pe marate haiN phir wahii ziNdagii hamaarii hai [Mirza Ghalib] raat sapanaa bahaar kaa dekhaa din huaa to Gubaar saa dekhaa bewafaa waqt bezubaaN nikalaa bezubaanii ko naam kyaa de ham [Sudarshan Faakir] saare duniyaa kii nazar meN hai meraa ahad-e-wafaa ek tere kahane se kyaa maiN bewafaa ho jaaooNgaa [Wasim Barelwi] sad afasos jaatii rahii vasl kii shab zaraa Thahar ai bewafaa kahate kahate [Momin Khan Momin] sar jukaaoge to patthar dewataa ho jaayegaa itanaa mat chaaho use wi bewafaa ho jaayegaa [Bashir Badr] shehar-e-wafaa meN ab kise ahal-e-wafaa kaheN ham se gale milaa to wo hii bewafaa milaa [Ayaz Jhanswi] terii bewafaa_iiyoN par, terii kaj_adaa_iiyoN par kabhii sar jhukaa ke roye, kabhii mooNh chhupaa ke roye [Saifuddin Saif] tum se kyaa kaheN, kitane Gam sahe ham ne be-wafaa tere pyaar meN [Fana Nizami Kanpuri] tuu bewafaa hai magar mujh ko jaan se pyaaraa hai isii adaa ne to raahii ko teraa Gulaam kiyaa [Saeed Rahi] tuu bewafaa tuu mahar_baaN ham aur tujh se bad_gumaaN ham ne to poochhaa thaa zaraa ye waqt kyooN Thaharaa teraa [Ibn-e-Insha] uTh ke ik bewafaa ne de dii jaan rah gaye saare baawafaa baiThe [Khumar Barabankwi] us bewafaa kaa shahar hai aur ham haiN dosto ashk-e-rawaaN kii nahar hai aur ham haiN dosto [Munir Niazi] us udoo-e-jaaN ko amajad maiN buraa kaise kahooN jab bhii aayaa saamane wo bewafaa achchhaa lagaa [Amjad Islam Amjad] wo charaaG-e-jaaN kabhii jis kii lau, na kisii hawaa se nigooN hu_ii terii bewafaa_ii ke waasawaa use chup ke chup ke bujhaa gaye [Amjad Islam Amjad] ye jaan tum na loge agar aap jaayegii is bewafaa kii Khair kahaaN tak manaayeN ham [DaaG Dehlvi] zindagii ke udaas lamhoN meN bewafaa dost yaad aate haiN [Unknown] un kii bewafaa_ii se hameN ko_ii shikwaa to nahiiN gilaa to apane aap se hai jo un ke qaabil na the [Unknown]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah