urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Ghazal~Sher : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Ghazal Ghazal us ne chheRii mujhe saaz denaa zaraa umr-e-raftaa ko aawaaz denaa [Safi Lucknawi] kuchch to paRhiye ki log kahate haiN aaj Ghaalib Ghazal-saraa na huaa [Mirza Ghalib] kaise sukoon paa_ooN tujhe dekhane ke baad ab kyaa Ghazal sunaa_ooN tujhe dekhane ke baad [Saeed Shahidi] baqadr-e-shauq nahiiN zarf-e-tanganaa-e-Ghazal kuchh aur chaahiye wusat mere bayaaN ke liye [Mirza Ghalib] maiN chaman meN kyaa gayaa goyaa dabistaaN khul gayaa bulbuleN sun kar mere naale Ghazal-KhwaaN ho ga_iiN [Mirza Ghalib] sadqe "Firaq" ejaaz-e-suKhan ke kaise uRaa_ii ye aawaaz in GhazaloN ke parde meN to meer kii GhazaleN bole haiN [Firaq Ghorakhpuri] bhiigii hai raat "Faiz" Ghazal ibtidaa karo waqt-e-sarod, dard kaa hangaam hii to hai [Faiz Ahmed Faiz] sajaao bazm Ghazal gaao jaam taazaa karo bahut sahii Gham-e-getii sharaab kam kyaa hai [Faiz Ahmed Faiz] ab bhii KhizaaN kaa raaj hai lekin kahiiN kahiiN gosh-e-rah-e-chaman meN Ghazal-KhwaaN huye to haiN [Faiz Ahmed Faiz] ab teraa zikr bhii shaayad hii Ghazal meN aaye aur se aur huaa dard kaa unwaaN jaanaaN [Ahmed Faraz] ga_ii umr dar band-e-fikr-e-Ghazal so is fan ko aisaa baRhaa kar chale [Meer Taqi Meer] ham se puchho Ghazal kyaa hai Ghazal kaa fan kyaa hai chand lafzoN meN ko_ii aah chhupaa dii jaaye [Unknown] karooN na yaad agar kis tarah bhulaa_ooN use Ghazal bahaanaa karooN aur gungunaa_ooN use [Ahmed Faraz] Ghazal meN bandish-e-alfaaz hii nahiiN sab kuchh jigar kaa Khoon bhii kuchh chaahiye asar ke liye [Unknown] bedard sunanii ho to chal kahataa hai kyaa achchhii Ghazal aashiq teraa rusavaa teraa shaayar teraa inshaa teraa [Ibne Insha] Khaamushii meN hazaar Gham sahanaa kitanaa dushvaar hai Ghazal kahanaa [Unknown] warnaa ab talak yooN thaa KhwaahishoN kii baarish meN yaa to TooT kar royaa yaa Ghazal-saraa_ii kii [Ahmed Faraz] vo meer kii Ghazal ho ki Ghaalib kii shaayarii naGhme tamaam saaz-e-rag-e-jaaN se aaye haiN [Ibrahim Faiz] ye mahakatii hu_ii Ghazal "Makhdoom" jaise saharaa meN raat phooloN kii [Makhdoom Mohiuddin] "Faiz" maiN shaayar wahii hooN shaam-e-tanhaaii meN kal dhaRakanoN ke saaz par jis kii Ghazal gaa_ii ga_ii [(Ibrahim ?) Faiz] "Asghar" Ghazal meN chaahiye vo mauj-e-zindagii jo husn hai butoN meN jo mastii sharaab meN [Asghar Gondvi] daaGh ke sher javaanii meN bhale lagate haiN meer kii ko_ii Ghazal gaa_o to kuchh chain paRe [Ghanesh Bihari Tarz] tanhaa apane aap ko jab paayiye janaab merii Ghazal ko saath liye jaayiye janaab [Unknown] phooloN meN Ghazal rakhanaa ye raat kii raanii hai is meN tere zulfoN kii ba-rabt kahaanii hai [Bashir Badr] ye shabanamii lehjaa hai aahistaa Ghazal paRhanaa titallii kii kahaanii hai phooloN kii zabaanii hai [Bashir Badr] mere Ghazal terii vahashatoN kii Khair ki hai bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN meN [Iftikhar Arif] Ghazal ne wahiiN zulfoN ke phailaa diye saaye jin raahoN pe dekhaa hai bahut dhoop kaRii hai [Bashir Badr] wo maathaa ke matalaa ho ki hoNThoN ke do misare bachapan se Ghazal hii merii mehboobaa rahii hai [Bashir Badr] dard siine se uThaa aaNkh se aaNsoo nikale raat aa_ii to Ghazal kahane ke pahale nikale [Unknown] Ghaalib tere zamiin pe likhii to hai Ghazal tere qad-e-suKhan ke baraabar nahiiN maiN [Unknown] mere jaise ban jaaoge jab ishq tumheN ho jaayegaa tum merii GhazaleN gaaoge jab ishq tumheN ho jaayegaa [Unknown] kabhii to mere liye bhii TooT kar mujh se milo ye kyaa ke merii Ghazal ko hii sarahaate rahanaa ['Saher'] gar too mushaayare meN sabaa aaj kal chale kahiyo "Azim" se ke zaraa vo saNbhal chale paRhane jo yaar shab ko Ghazal dar Ghazal chale bahar-e-rajaz meN Daal ke bahar-e-ramal chale [Mirza Rafiuddin Sauda] Note: Actually this is part of a HIJV directed towards Mirza Azim Beg Chughtai. A hijv is a satirical poem written to abuse or condemn someone. It is generally considered a low form of poetry and normally avoided by reputed poets. kar ke tukbandii tarannum se Ghazal maiN ne paRhii aur sab kahane lage "Bekal" bhii shaayar ho gayaa [Bekal Barhanpuri] shikaayat un se karanaa go musiibat mol lenaa hai magar "Aajiz" Ghazal ham be-sunaaye dam nahiiN leNge [Kaleem Aajiz] raushan cheharaa bhiigii zulfeN kis ko dooN kis par tarjiih ek qasiidaa dhoop pe likhooN yaa ek Ghazal barasaat ke naam [Malikzada Manzoor] dil dard kii bhaTTii meN ka_ii baar jale hai tab ek Ghazal husn ke saaNche meN Dhale hai [Kaleem Aajiz] Ghazal kaho ke ye haal ab Ghazal ke qaabil hai pakaa pakaa hai kalejaa dukhaa dukhaa dil hai merii Ghazal ko merii jaan faqat Ghazal na samajh ik aa_iinaa hai jo har dam tere muqaabil hai [Kaleem Aajiz] ye vazaa-e-vafaadaarii "aajiz" na badal denaa vo zaKhm tujhe denge tum un ko Ghazal denaa [Kaleem Aajiz] kal kahate rahe haiN vahii kal kahate raheNge har daur meN ham un pe Ghazal kahate raheNge [Kaleem Aajiz] chhuri jin ke haathoN se khaanaa paRe hai gazal bhii unhiiN ko sunaanaa paRe hai [Kaleem Aajiz] aazamaana hai to aa baazoo dil kii quvvat too bhii shamshiir uThaa ham bhii Ghazal kahate haiN [Kaleem Aajiz] husn ko chaaNd javaanii ko kaNval kahate haiN un kii soorat nazar aaye to Ghazal kahate haiN [Qateel Shifai] jis ne bhii haNs ke baat kii ham us ke ho liye zulfoN kii ThaNDii chhaaoN milii aur so liye kahanaa kisii Ghazal kaa dushvaar bahut hai goyaa jigar ke Khoon se motii piro liye [Unknown] Ghazal rudaad hai naakaamiyoN kii Ghazal maharumiyoN kii daastaaN hai Ghazal riste hue zaKhmon kaa marham Ghazal ek chaaraa-e-dard-e-nihaaN hai Ghazal kaa husn hii hai husn-e-aalam Ghazal kaa noor hii noor-e-jahaaN hai [Jagdish Bhatnagar 'Hayaat'] duniyaa banii to hamd-o-sunaa ban ga_ii Ghazal utaraa jo noor noor-e-Khudaa ban ga_ii Ghazal gooNjaa jo naad_brahm, banii raqs-e-mahar-o-maah zarre jo thar-tharaaye sadaa ban ga_ii Ghazal chamakii kahiiN jo barq to ehasaas ban ga_ii chhaa_ii kahiiN ghaTaa to adaa ban ga_ii Ghazal aaNdhii chalii to qahar ke saaNche meN Dhal ga_ii baad-e-sabaa chalii to nashaa ban ga_ii Ghazal haivaan bane to bhook banii bebasii banii insaan bane to jazb-e-vafaa ban ga_ii Ghazal uThaa jo dard-e-ishq to ashkoN meN Dhal ga_ii bechainiyaaN baRhii to duaa ban ga_ii Ghazal zaahid ne pii to jaam-e-panaah ban ke rah ga_ii rindoN ne pii to jaam-e-baqaa ban ga_ii Ghazal arz-e-dakkan meN jaan to dilli meN dil banii aur shahar lakhanau meN hinaa ban ga_ii Ghazal dohe rubaa_ii nazmeN sabhii 'Tarz' the magar asnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga_ii Ghazal [Ghanesh Bihari 'Tarz']

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah