urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Islamic~Shairi~Nazm : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Rashq karta hai falak aesi zameen par.. Islamic shayari Rashq karta hai falak aesi zameen par, Jispe do chaar gharri zikr e khuda hota hai.. Karam jab Aaall-e-Nabi ka shareek hota hai, Bigar bigar ke har kaam theek hota hai.. Roz gunaah karta hu’n, woh chupata hai Apni Rehmat se, Mein majboor apni Aadat se, woh mash’hoor Apni Rehmat se… Khudaa ko aik mantey hain lekin, Khudaa ki aik tak nahin mantey.. Hawaa khilaaf thi lekin chiraag bhi khoob jala, Khuda bhi apne honey ke kya kya saboot deta hai.. Wohi rakhe ga mere ghar ko balaaon se mehfooz, Jo shajjar se ghaunslaa girne nahin deta.. Yu’n to syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho, Tum sabhi kuch ho, bataao to musalmaan bhi ho ? Ajeeb Faiz Hai Aaqa (SAW) Apki Muhabbat Ka, Durood Aap Pay Parhu’n Aur Khud Sanwar Jaaun.. Youn to rehmat hy teri, Teray ghazab py haavi, Phir bhi Mehshar men khudaya mera Parda rakhna.. Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai, Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi hai.. Meray Bachpan Ke Din Bhi Kya Khoob The, Be-Namazi Bhi Tha Aur Be-Gunah Bhi… Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shayed, Ab Jaag bhi jaatay hain toh Sehhri Nahi Khatay…! Is Khaak Ko Hidayat De Maula, Uss Khaak Mein Milny Se Pehle.. Nahin mein mohtaaj dunya ka ik tere siwa Ya Rab, Mere sajde kabool karle meri saans ke tootne se pehle.. Ya Rab Mere Sajde Chaand ki Pehli Dastak Pay, CHaaNd MuBaRaK Kehtay Hain, Sub Say Pehlay Hum Aap Ko, “RAMZAN MUBAARAK” kehtay hain. yari Sajdon ke iwaz firdos miley yeh baat mujhe manzoor nahin, Be-laus ibaadat karta hon, banda hoon tera mazdoor nahin.. Tere ikhteyaar mein kya nahin mujhe is tarah se nawaaz de, Meri yun dua’ein kubool kar ke mere lab pe koi dua na ho.. Aadmi ne poori jannat haar di, Sirf ek gandum ke daaney per.. Kaisa Nabi, Kaisa Khuda, Paisa Nabi, Paisa Khuda.. Nawaza jo kuch bhi mere Khuda ne mujhe, Peechey waseela mere sarkaar ka hai, Gaye jo aap “Sidratul-Muntaha” se bhi agey, Rutbaa kitna ooncha mere sarkaar ka hai, Ghulami-e-Rasool mein baha de gaye lahuu bhi apna, Mera jism, Meri rooh, Sabhi mere sarkaar ka hai.. Khuda ko Bhool Gaye Log Fikar-e-Rozi Main, Talaash Rizq ki Hai “RAAZIQ” ka Khayaal Nahi…..!! Khuda aisay Ehsaas ka Naam hai, Rahay Samnay aur Dikhaai na day ! Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay Acha Mola ! Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhay Khail Ye Kaisa Khail Rahee Hai Dil Se Teri Mohabbat Ik Pal Sarshaari De aur DinoN Malaal Mein Rakhay Mein Ne Saari Khushbooain aanchal Se Baandh Ke Rakheen Shaayad In Ka Zikr TU apnay Ksi Sawaal Mein Rakhay Ksi Se Tere aanay Ki Sargoshi Ko Suntay Hee Mein Ne Kitnay Phool Chunay aur apni Shaal Mein Rakhay Mushkil Bun Kar Toot Padi Hai Dil Per Ye Tanhai aB Jaanay Ye Kub Tak Isko apnay Jaal Mein Rakhay Elahi aabru rakhna bara nazuk zamana hai, Dilon mein kufr rakhtay hain bazahir dostana hain.. Beeta hai jo mere upar Apne pyare nabi ko sunaon ga Darood partha hua jab mein madine jaoga Rootay rootay apna haal sunaao ga Jab un kay qadam mubarak ki jali ko haath lagao ga Namaz parnhay jab masjid e nabwi jaon ga Apney ap ko un kay hawalay dey kar ayo ga Ae kash mujhe mout a jaye Yeh kah kar un ki chohkat say lout jayo ga Apnay gunaho ko bakshavnay kay liye apne dil ko azmnay kay liye dey ao ga apni rooh ko sambhal jane kay liye Apnay aqa kay mazaar par ja kar Maafi mango ga apni har hatha par Qali qameli wale ko batao ga apne khaalat Kia kia beeti hain uski umaat kay opaar unkay bichaar janay kay baad Apni chahat ka izhaar karnay kay liye Aaqa ka deedar karnay kay liye So jaon ga unki chohkat par Maafi ki talaab kay liye Dunia Ki Har Fiza Mein Ujala RASOOL Ka, Ye Sari Kainaat Hai Sadqa RASOOL Ka, Khushboo Gulab Hai Pasina RASOOL Ka, AapKo Mubarak Ho Mahina RASOOL Ka.. Rabi-ul-Awal Mubarak… Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De Ke Apne Siwaa Kuch Dikhaayee Na De Qataawaar Samjhegi Duniyaa Tujhe Ab Itni Ziyaada Safaayee Na De Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahut Qalam Cheen Le Roshnaayee Na De Khudaa Aise Ehsaas Ka Naam Hai Rahe Saamne Aur Dikhaayee Na De kuch lamhon ko brbaad kia.. Per ab k baras, RUB se dua ha ye , koi pal na apka udas guzry, koi rog na apko raas guzry, ap pholon ki trha khila kreyn, koi shakhs na ap se gila kry, ap khush rho abad rho, apka khwab ngar abad rhy, ap jo chahy wo ho jay, ap jo mango wo mil jay, apki maf wo hr ik khata kry, apko asey hi Rab ata kry. AMEEN. Yon phir raha hai kanch ka pekar lie hoe, Ghafal ko ye gaman hai k pathar na ae ga.

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah