urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Khat~Qasid~Paigham : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Khat Khat likheNge garche matlab kuchh na ho ham to aashiq haiN tumhaare naam ke [Mirza Ghalib] magar likhavaaye koii us ko Khat to ham se likhavaaye huii subah aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikale [Mirza Ghalib] Gair phirataa hai liye yooN tere Khat ko ki agar ko_ii poochhe ki ye kyaa hai to chhupaaye na bane [Mirza Ghalib] deke Khat mooNh dekhataa hai naamaabar kuchh to paiGaam-e-zubaanii aur hai [Mirza Ghalib] Galat na thaa hameN Khat par gumaaN tasallii kaa na maane deedaa-e-deedaar joo to kyoNkar ho [Mirza Ghalib] ho liye kyoN naamaabar ke saath saath yaa rab apane Khat ko ham pahoNchaayeN kyaa [Mirza Ghalib] qaasid ke aate aate Khat ik aur likh rakhooN maiN jaanataa hooN jo wo likheNge jawaab meN [Mirza Ghalib] tere Khushboo meN base Khat maiN jalaataa kaise pyaar meN Doobe hue Khat maiN jalaataa kaise tere haathoN ke likhe Khat maiN jalaataa kaise tere Khat aaj maiN gangaa meN bahaa aayaa hooN aag bahate hue paanii meN lagaa aayaa hooN [Rajendranath Rahbaar] wo Khat ke purze uRaa rahaa thaa hawaaoN kaa ruKh dikhaa rahaa thaa [Gulzar] husn thaa teraa bahut aalam fareb Khat ke aane par bhii ik aalam rahaa [Meer Taqi Meer] tumhaare Khat meN nayaa ik salaam kis kaa thaa na thaa raqiib to aaKhir wo naam kis kaa thaa hamaare Khat ke to purze kiye paRhaa bhii nahiiN sunaa jo tum ne baa_dil wo payaam kis kaa thaa [Daag Dehlvi] ho chukaa aish kaa jalsaa to mujhe Khat bhejaa aap kii tarah se mehamaan bulaaye ko_ii [Daag Dehlvi] paRh ke teraa Khat mere dil kii ajab haalat hu_ii iztaraab-e-shauq ne ek hashr barapaa kar diyaa [Hasrat Mohani] merii shaam-e-Gam ko wo bahalaa rahe haiN likhaa hai ye Khat meN ki ham aa rahe haiN [Akhtar Shirani] Khat likh ke kabhii aur kabhii Khat ko jalaa kar tanhaa_ii ko rangiin banaa kyoN nahiiN lete [Zafar Gorakhapuri] kaise maane ke unheN bhool gayaa too ai kaif un ke Khat aaj hameN tere sarhaane se mile [Kaif Bhopali] raaz kii baateN likhii aur Khat khulaa rahane diyaa jaane kyoN rusvaa_iioN kaa silsilaa rahane diyaa [Sabir Jalalabadi] wo bhii shaayad ro paRe veeraan kaaGaz dekh kar maiN ne use aaKhirii Khat meN likhaa kuchh bhii nahiiN [Zahur Nazar] Khat diijiyo chhupaa ke mile wo agar kahiiN lenaa na mere naam ko ai naamaabar kahiiN [Mashraf Ali Khan "Fugaan"] deN bhii jawaab Khat ki na de kyaa Khabar mujhe kyoN apane saath le na gayaa naamaabar mujhe [Safi Lakhanavi] likho salaam Gair ke Khat meN Gulaam ko bande kaa bas salaam hai aise salaam ko [Momin] likhaa wahii thaa ki jo thaa naseeb kaa likkhaa balaa se, Khat kaa jawaab us ne kuchh diyaa to sahii [Qabil Dehlvi] Khat to bhejaa hai par ab Khauf yahii hai dil meN maiN ne kyaa us ko likhaa aur wo kyaa samajhegaa [Majnu Azimabadi] donoN kaa ek haal hai ye mudda_aa ho kaash wo hii Khat us ne bhej diyaa kyoN jawaab meN [Momin] waaN se aayaa hai jawaab-e-Khat ko_ii suniyo to zaraa maiN nahiiN hooN aap meN mujh se na samajhaa jaayegaa [Jurrat] Gair ke dhoke meN Khat le ke meraa qaasid se paRhane ko paRh to liyaa naam magar chhoR diyaa [Nizam Rampuri] miT chale merii umeedoN kii tarah harf magar aaj tak tere KhatoN se terii Khushboo na ga_ii [Akhtar Sheerani] ek muddat se na qaasid hai na Khat hai na payaam apane waade ko too kar yaad mujhe yaad na kar [Jaleel Manikpuri] Khat ke purze aaye haiN qaasid kaa sar tasveer-e-Gair ye hai bhejaa us sitam_gar ne mere Khat kaa jawaab [Unknown] purza uRaa ke Khat ke ye ek purzaa likh diyaa lo apane ek Khat ke ye sau Khat jawaab meN [Bismil Dehlvi] allaah re fareb-e-tamannaa ki baarahaa apane hii Khat ko le ke paRhaa naamaabar se aap [Ummid Amethawi] kisii ko bhej ke Khat haaye ye kaisaa azaab aayaa ki har ek poochhataa hai naamaabar aayaa, jawaab aayaa [Ehsan Marharwi] likh chuke ham jaa chukaa Khat gar yahii haalat rahii haath meN aayaa qalam aur shauq kaa daftar khulaa [Fani Badayuni] kyaa jaane likh diyaa kyaa use iztiraab meN qaasid kii laash aa_ii hai Khat ke jawaab meN [Momin Khan Momin] siyaahii aaNkh se le kar ye naamaa tum ko likhataa hooN ki tum naamaa ko dekho aur tumheN dekhen merii aaNkheN [Unknown] meraa Khat paRh ke bole naamaabar se jaa Khudaa haafiz jawaab aayaa merii qismat se lekin laa_jawaab aayaa [Shakeel Badayuni] ab waham kaa ilaaj ke Khat deke un ke naam aage chale haiN chaar qadam naamaabar se ham [Rasaa Rampuri] ho sake to jawaab de denaa ye muhabbat kaa aaKhirii Khat hai [Sanam Pratapgadhi] ham ne maanaa ki nahiiN hotii muqammal taskeen Khat ko bhii aadhii mulaaqaat kahaa jaataa hai [Taabish Lucknawi] jis par hamaarii aaNkh ne motii bichhaye raat bhar bhejaa vohii kaaGaz use ham ne likhaa kuchh bhii nahiiN [Bashir Badr] qayaamat hai ye kah ke us ne lauTaayaa hai qaasid ko ki un kaa to har ek Khat aaKhirii paiGaam hotaa hai [Sheri Bhopali] kyaa kyaa fareb dil ko diye iztiraab meN un kii taraf se aap likhe Khat jawaab meN [Daag Dehlvi] naamaabar tuu hii bataa tuu ne to dekhe hoNge kaise hote haiN wo Khat jin kaa jawaab aataa hai [Qamar] Khat Gair kaa paRhate the jo tokaa to wo bole aKhbaar kaa parchaa hai Khabar dekh rahe haiN [Daag Dehlvi] tawaqqo hai dhoke meN aakar wo paRh leN ki likkhaa hai naamaa unheN Khat badal kar [Ameer Minai] leke Khat un kaa kiyaa zabt bahut kuchh lekin thar-tharaate hue haathoN ne bharam khol diyaa [Jigar Moradabadi] meraa Khat us ne paRhaa paRh ke naamaabar se kahaa yahii jawaab hai is Khat kaa ko_ii jawaab nahiiN [Ameer Minai] aap kaa Khat nahiiN milaa mujh ko daulat-e-jahaaN milii mujh ko [Aseer Lucknawi]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah