urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Khwaab~Aarzoo : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Khwaab wo aake Khwaab meN taskeen-e-iztiraab to de wale mujhe tapish-e-dil majaal-e-Khwaab to de [Mirza Ghalib] [taskeen = satisfaction; iztiraab = anxiety; tapish = burn; majaal = dare] taa phir na intazaar meN neend aaye umr bhar aane kaa ahad kar gaye aaye jo Khwaab meN [Mirza Ghalib] [taa=so that, ahad=promise ] aaNkhoN meN jo bhar loge to kaaNTeN se chubhenge ye Khwaab to palkoN pe sajaane ke liye haiN [Jan Nissar 'Akhtar'] hasarateN dil kii mujassam nahiiN hone paatii Khwaab banane nahiiN paataa ki bikhar jaataa hai ['Mumtaz' Mirza] jhoNke ne taar taar kiyaa pai-phaTe kaa Khwaab kin paagaloN ke haath hamaarii qabaa lagii [Wazir Agha] Khwaab-e-adam se chauNke the ham tere waaste aaKhir ko jaag jaag ke ham naachaar so gaye [Meer 'Dard'] apanii aaNkhoN ke bistar par kis ke liye ab phool chunooN sapane safar se kab lauTe haiN kab banatii hai bigaRii baat [H. 'Tasavvur'] aao ki ko_ii Khwaab buneN kal ke waaste waranaa ye raat aaj ke sangeen daur kii Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil taa-umr phir na ko_ii haseeN Khwaab bun sakeN [bunanaa = to weave; sangeen daur = hard/difficult times] [Das lenaa = to bite; taa-umr = entire life] go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr KhwaaboN ke aasare pe kaTii hai tamaam umr [tez-gaam = fleet-footed] zulfoN ke Khwaab, hoNThoN ke Khwaab, aur badan ke Khwaab meraaj-e-fan ke Khwaab, kamaal-e-suKhan ke Khwaab [meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-suKhan = perfection in poetry] tahazeeb-e-zindagii ke, faroG-e-watan ke Khwaab zindaaN ke Khwaab, koochaa-e-daar-o-rasan ke Khwaab [tahazeeb-e-zindagii = civilized life; faroG-e-watan = nation's progress/upliftment] [zindaaN = prison; koochaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows] ye Khwaab hii to apanii jawaanii ke paas the ye Khwaab hii to apane amal ke asaas the ye Khwaab mar gaye haiN to be-rang hai hayaat yooN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat [amal = work; asaas = foundation; hayaat = life] [dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone (helpless)] aao ki ko_ii Khwaab buneN kal ke waaste waranaa ye raat aaj ke sangeen daur kii Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil taa-umr phir na ko_ii haseeN Khwaab bun sakeN [Sahir Ludhianvi]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah