urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Mareez~Bimar~Nasaaz : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



mareez / beemaar mareez-e-ishq par rahamat Khudaa kii marz baRhataa gayaa jooN-jooN dawaa kii [Meer Taqi Meer] [rahamat = kindness; marz = illness; jooN-jooN = as (jaise-jaise)] un ke dekhe se jo aa jaatii hai mooNh pe raunaq wo samajhate haiN ki beemaar kaa haal achchhaa hai [Mirza Ghalib] ab to beemaar-e-muhabbat tere qaabil-e-Gaur hue jaate haiN [Daag Dehlvi] beemaar tere jee se guzar jaayeN to achchhaa jeete haiN na marate haiN ye mar jaayeN to achchhaa [Fani Badayuni] ulaTii ho ga_iiN sab tadbeereN kuchh na davaa ne kaam kiyaa dekho is beemari-e-dil ne aaKhir kaam tamaam kiyaa [Meer Taqi Meer] aap uTh rahe haiN kyooN mere aazaar dekh kar dil Doobate haiN haalat-e-beemar dekh kar [Saqib Lucknawi]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah