urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Mother~Maan : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Suuna suuna sa mujhe ghar lagta hai, Maan nahin hoti, mujhe dar lagta hai.. Ye roshan aur piyari aankhain Zalim khaak mein rul jaingi God mein lainy wali baanh’ain Beher-e-fana mein ghul jaingi Maa’n tum tanha chorr k hum ko Sheher-e-ajal mein kho jaogi Bujh jaingi roshan aankhain Maa’n tum chain se so jaogi Sheher-e-abad ki ho jaogi Charagar’on k qaatil jumley Sunta hun to dukh hota hai Zabt karo’n to dum ghut’ta hai Ashk piyu’n tou dil rota hai Taaq umer se dheeray dheeray Kitni sham’ain bicharr chuki hain Tum se pehly taiz hawa se Kitni aankhain ujarr chuki hain Lekin ye ghum kaisa ghum hai? Jis k sog mein chashm-e-falak bhi Janay kitney roz se num hai Janey kab tk ro’aingi aankhain janay kab tk lamhay gin gin Guzraingy sooli per ye din Aur phir ik din . . . Sochta hun to kaanp uthta hun. . .! Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum? Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum? Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barso’n se Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum? Kharaash’ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum? Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo! Ta’aqub mein hai mery gardish-e-dauraa’n, kahan ho tum? Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee’n zinda hain Meri nazro’n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai! Mery zakhm’on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum? Meri ami ko bula de koi, Warna mujhe hi sula de koi.. Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to, Mujh ko yu’n mehsoos hua, Apna sab kuch chorr ke jese, Ik lamhe mein, Mera sab kuch us ne apna maan liya hai, Mujh ko sab kuch jaan liya hai.. Waqt ki karri dhoop mein dhaal ban jati hai, Mere aansu jo bahe’n to rumaal ban jati hai, Jis roz maan ki duayain na samait kar mein nikloon, Us roz yeh zindagi bhi wabaal ban jati hai, Jo log azmat maan ki pehchaan ke chalte hain, Taareekh mein bhi un ki misaal ban jati hai, Maan ho agar saleeqa’mand aur ba’shaoor, Waqas, Us ke saaye mein shakhsiyat bakamaal ban jati hai.. Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maan, Ab mery baghair eid kaisy manao gi maan, Sab k bety jab aayen ge eid parh ke, Tum darwazy mein khari takti reh jaogi maan, Saway’yan jab bantny lago gi mohally mein, Tumhari palk aanson se bheeg jaye gi maan, Sham tak bhi jab na pohnch paonga ghar, Tery dil ki dharkan jaisy ruk si jayegi maan, Eid parh kr jab wapis aaonga duty pe, Tasali ye dil ko de kr so jaonga maan, Eid ka kiya hai agly saal phir ajyegi maan.. Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho, Hum Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Karo, Maan, Hamare Janazey Hamesha Jawaan Uthte Hain, Aur Meri Maan, Yeh Sun Kar Ro Diya Karti Thi, Kahin Jo Tumhen Meri Maan Miley, Tou Usey Kehna, Woh Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Kare, Darwazey Ki Chokhat Per Beth Kar, Mera Intizar Na Kiya Kare, Tum Meri Maan se Kehna, Woh Roya Na Kare… Pher Lete Hain Nazr Jis Waqt Bety aur Bahu Ajnabi Apny Hi Ghar Main Haye Ban Jati Hai Maan Hum Ne Ye Bhi To Nai Socha Alag Hony K Baad Jab Diya Hi Kuch Nai Hum Ne to Kya Khati Hai Maan Zabt to Dekho Ke Itni Be-Rukhi Ke Bawajood Bad-Dua Deti Hai Hazgiz aur Na Pachtati Hai Maan Saal Bhar Main Ya Kabhi Hafty Main Jume-rat Ko Zindagi Bhar Ka Sila Ek Fateha Paati Hai Maan Usne Dunya Ko Diye Masoom Rehbar Is Liye Azmaton Main Saani-e-Quran Kehlati Hai Maan Baad Mar Jaany K Phir Bety Ki Khidmat K Liye Bhes Beti Ka Badal Kr Ghar Main Aajati Hai Maan Maan Achi Tarah Tyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai, Bohat Sa Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai, Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje hi Ko Dey Do, Dil-o-Jaan Nisaar Karna, Aj Mera Akhri Din ha, Abbu ha Ammi ha Behan Bhai ha Saray, Muj Ko Na Shumar Karna, Aj Mera Akhri Din ha, Tumhay Staya, Tumhay Rulaya, Bohat Dukh diye hai tum ko, Mujhe Maaf Meray Yaar Karna, aj Mera Akhri din ha, Mai Chala KHUDA HAFIZ, Phir Milay Gey Jannat ma, Maa Akhri Baar Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din ha….! Aye Maan, Phir se muje mera basta de de, ke duniya ka dia sabaq mushkil bohat hai. Meri chahat ka jo jahan hai, wo meri maan hai, meri zameen ka jo asman hai, wo meri maan hai, mera sub kuch jis k nam hai, wo meri maan hai, hunsy mere jis k wagood se hai, wo mery maan hai.. Wohi meri subh ,meri sham hoti thi Garmiyon ki dhop me,wo mera saibhan hoti thi Mere lie wo sehti thi tahne dosaron k Mere lie wo har waqt odas hoti thi Satata tha me use jii bhar k Lakin uss k labon par phir bhi dua hoti thi Chala jata tha me jab bhi kahen door Nazar hamaisha us ki darwaze par hoti thi Karta nahin tha talash kahen bhi me Uss k qadmoo me hi meri janat hoti thi Chor jate the jab bhi log bachpan me Uss k hathon me hi meri ongali hoti thi Ratjagon k azab jo mujh par otarte the Uss ki mohabbat hi meri lori hoti thi Qurban karti thi wo mujh par apna sab kuch Meri khoshi me hi uss ki khoshi hoti thi HUSSNAIN yad ati hai mujh ko wohi maa bar bar Meri shohrat jiss ki dauon se hoti thi Aye Maa’on Behnon Betiyon, Dunya ki zeenat tum se hai, Mulkon ki basti ho tumhi, Qomon ki izat tum se hai, Tum ghar ki shehzaadiyan, Shehron ki ho abaadiyan, Ghamgeen dilon ki shadiyan, Dukh sukh mein raahat tum se hai, Tum ho to ooncha hai watan, Tum bin hai veerana chaman, Ho des ya pardes, jeeney ki haalat tum se hai, Naiki ki tum tasveer ho, Ifat ki tum tadbeer ho, Ho deen ki tum paasban, Imaan salamat tum se hai, Fitrat tumhari hai hayaa, Tabiyat mein hai mehr-o-wafaa, Ghanni hai sabr-o-razaa, Insaan ibaarat tum se hai, Munass ho khandaanon ki tum, Gham-khuwaar farzandon ki tum, Tum bin ghar veeraan sab, Ghar bhar mein barkat tum se hai, Tum aas ho bemaar ki, Dhaaras ho tum bekaar ki, Daulat ho tum nadaar ki, Asrat mein ishrat tum se hai… …

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah