urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Qaasid : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



qaasid qaasid ke aate aate Khat ik aur likh rakhooN maiN jaanataa hooN jo wo likhenge jawaab meN [Mirza Ghalib] aatii hai baat baat mujhe baar baar yaad kahataa hooN dauR dauR ke qaasid se raah meN [Daag Dehlvi] ye qaasid hii jaane hai jo hai apanaa haal-e-dil jo tujhe ye ilm hotaa to ye haal hii na hotaa [Unknown] wo kab sunane lage qaasid magar yooN hii sunaa denaa milaa kar doosaroN kii daastaaN meN daastaaN merii [Unknown] phirataa hai mere dil meN ko_ii harf-e-mudda'a qaasid se kah do aur na jaaye zaraa sii der [Daag Dehlvi] o qaasid jab tuu jaaye mere dildaar ke aage adab se sar jhukaanaa husn ki sarakaar ke aage gar mooNh se na kah paaye to aaNkhoN se bayaaN karanaa mere Gam kaa har ek qissaa mere Gam_Khwaar ke aage [Unknown] ta-ammul to thaa un ko aane meN qaasid magar ye bataa tarz-e-inkaar kyaa thii [Iqbal] qaasid payaam-e-shauq ko denaa bahut na tool kahanaa faqat ye un se ki aaNkheN taras ga_iiN [Jaleel Manakpuri] qaasid hai tu Khudaa kaa agar chiTThiyaaN hii baaNT un chiTThiyoN pe too likhaa apanaa pataa na dekh [Surendra Chaturvedi] qaasid chalaa to hai Khabar-e-yaar ke liye itanaa rahe Khayaal ki aaNkhoN meN jaan hai [Unknown] ek muddat se na qaasid hai na Khat hai na payaam apane waade ko tuu kar yaad mujhe yaad na kar [Jaleel Manikpuri] Khat ke purze aaye haiN qaasid ka sar tasveer-e-Gair ye hai bhejaa us sitamgar ne mere Khat kaa jawaab [Unknown] kyaa jaane likh diyaa kyaa use iztaraab meN qaasid kii laash aa_ii hai Khat ke jawaab meN [Momin] tu dekh rahaa hai jo meraa haal hai qaasid mujh ko yahii kahanaa hai maiN kuchh nahiiN kahataa [Kaif Dehalvi] qayaamat hai ye kah kar us ne lauTaayaa hai qaasid ko ki un kaa to har ik Khat aaKhirii paiGaam hotaa hai [Sheri Bhopali] kyaa mere haal pe sach-much unheN Gam thaa qaasid tuu ne dekhaa thaa sitaaraa-e-mizGaan ko_ii [Unknown] qaasid aayaa hai wahaaN se to zaraa tham to sahii baat to karane de us se dil-e-betaab mujhe [Unknown] un ke dar tak pahuNch gayaa qaasid aage taqadeer kii rasaa_ii hai [Daag Dehlvi] [rasaa_ii = reach] ko_ii naam-o-nishaaN poochhe to ai qaasid bataa denaa taKhallus "Daag" hai aur aashiqoN ke dil meN rahate haiN [Daag Dehlvi] [taKhallus = pen-name] wo bad_Khoo aur merii daastan-e-ishq toolaaniii ibaarat muKhtasar qaasid bhii ghabaraa jaaye hai mujh se [Mirza Ghalib] [toolaanii = long; ibaarat = composition; muKhtasar = short] ashkoN ke nishaaN parchaa-e-saadaa pe haiN qaasid ab kuchh na bayaaN kar ye ibaarat hii bahut hai [Ehsan Ali Khan] [parchaa-e-saadaa = blank paper; ibaarat = composition] qaasid ke hosh gum the ye turfaa maajaraa thaa kahataa thaa kuchh zabaanii aur Khat meN kuchh likhaa thaa [Zaki] [turfaa = strange; maajaraa = affair/event] Gair ke dhoke meN Khat le ke meraa qaasid se paRhane ko paRh to liyaa magar naam chhoR diyaa [Nizam Rampuri] wo aur waadaa vasl kaa qaasid nahiiN nahiiN sach sach bataa ye lafz unhiiN kii zabaaN ke haiN [Amir Meenai] qaasid kii guftagoo se tasallii ho kis tarah chhipatii nahiiN wo jo terii zabaaN kii hai [DaaG Dehlvi] pahuNche na wahaaN tak ye duaa maaNg rahaa hooN qaasid ko udhar bhej ke dhyaan aaye hai kyaa kyaa [Mir Zamin Ali Jalal]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah