urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Qadam~Gaam : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



gaam raah-e-wafaa meN ham ko Khushii kii talaash thii do gaam hii chale the ke har gaam ro paRe [Sudarshan Faakir] [raah-e-vafaa = path of faithfulness; talaash = search] ai jazbaa-e-dil gar maiN chaahooN har cheez muqaabil aa jaaye manzil ke liye do gaam chalooN aur saamane manzil aa jaaye [Behzad Lucknawi] manzil ke liye do gaam to kyaa ik gaam bhii chal kar na jaa_ooN jab Khwaahish-e-manzil paidaa ho Khud saamane manzil aa jaaye [Unknown] har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir maqtal kii raah milatii hai koo-e-habiib se [Sahir Ludhianvi] [majamaa = crowd; ushshaaq = plural of aashiq (lover)] [muntazir = waiting; maqtal = place of sacrifice] [raah = path ; koo = street; habiib = friend] ham ne har gaam pe sajdoN ke jalaaye haiN charaaG ab terii rah_guzar rah_guzar lagatii hai [Jan Nissar Akhtar] kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa manzil-e-ishq meN har gaam pe ronaa aayaa [Shakeel Badayuni] is raah-e-muhabbat meN tuu saath agar hotaa har gaam pe gul khilate Khushboo kaa safar hotaa [Alam Tab Tashna] jin ke liye mar bhii gaye ham wo chal kar do gaam na aaye [Jigar Moradabadi] apane hii saaye se har gaam laraz jaataa hooN raaste meN ko_ii deewaar khaRii ho jaise [Ahmed Faraz] junooN kii ko_ii maNzil hii nahiiN hai yahaaN har gaam gaam-e-awwalii hai [Shamim Jaipuri]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah