urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Tasveer~Yaad : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



tasveer lagataa hai ka_ii raatoN se jaagaa thaa musavvir tasveer kii aaNkhoN se thakan jhaaNk rahii hai [Unknown] terii tasveer se karataa thaa baateN mere ghar meN aa_iinaa nahiiN thaa [Majaz] dekh ke jis ko dil dukhataa thaa vo tasveer jalaa dii ham ne [Farhat Shehzad] jalwaa na ho maanii kaa to soorat kaa asar kyaa bul_bul gul-e-tasveer kaa shaidaa nahiiN hotaa [Unknown] haadase aur bhii guzare terii ulfat ke sivaa haaN mujhe dekh mujhe ab merii tasveer na dekh [Majrooh Sultanpuri] naqsh fariyaadii hai kis kii shoKhii-e-tahriir kaa kaaGazii hai pairahan har paikar-e-tasveer kaa [Mirza Ghalib] chand tasveer-e-butaaN chand haseenoN ke Khatoot baad marane ke mere ghar se ye saamaaN nikalaa [Mirza Ghalib] dil gayaa thaa to ye aaNkheN bhii ko_ii le jaataa maiN faqat ek hii tasveer kahaaN tak dekhooN [Ahmed Nadeem Qasmi] merii tasveer meN rang aur kisii kaa to nahiiN gher le mujh ko sab aake maiN tamaashaa to nahiiN ham un kii tasveer dil meN chhipaaye baiThe haiN veeraan zindagii meN ek gul khilaaye baiThe haiN [Unknown] maanind-e-aks dekhaa use aur na mil sake kis roo se phir kaheNge ke roz-e-visaal thaa [Mir Hasan] sunaat ke musavvir ne sabaahat ke safe par tasveer banaa_ii hai tere noor ko hal kar [Wali Deccani] uroos-e-maanaa kii tasveer khaiNch aatii hai 'Sauda' ko ko_ii Khaatir meN us kii 'maani'-o-'behzad' aataa hai [Mohammed Rafi Sauda] rahe haiN naqsh mere chashm-o-dil par yooN terii soorat musavvir kii nazar meN jis tarah tasveer phiratii hai [Hasrat Azeemabadi] muddatoN pahale jab tujh se taarruf bhii na thaa terii tasveer banaate the Khayaalat mere [Unknown] tasveer kyoN dikhaayeN tumheN naam kyoN bataayeN laaye haiN ham kisii se kisii bewafaa kii hai [Bekhud Dehlvi] ham ne dikhaa dikhaa terii tasveer jaa-ba-jaa har ik ko apanii jaan kaa dushman banaa liyaa [Jagannath Azad] aap ne tasveer bhejii maiN ne dekhii Gaur se har adaa achchhii Khaamoshii kii adaa achchhii nahiiN [Jaleel Manikpuri] terii soorat se nahiiN milatii kisii kii soorat ham jahaaN meN terii tasveer liye phirate haiN [Nasikh] taab-e-nazzaaraa nahiiN aa_iinaa kyaa dekhane dooN aur ban jayeNge tasveer jo hairaaN hoNge [Momin Khan Momin] Khushaamad ai dil-e-betaab is tasveer kii kab tak ye bolaa chaahatii hai par na bolegii na bolii hai [Ameer Meenai] Galat hai aap na the ham_kalaam Khalvat meN adoo se aap kii tasveer bolatii hogii [Riaz Khairabadi] lab-e-Khaamosh se izhaar-e-tamannaa chaahe Gark hone ko bhii tasveer kaa lehjaa chaahe [Unknown] jawaanii kyaa hai goyaa ek tasveer muhabbat kii jis meN rangoN kii awaz Khoon-e-jigar bharate haiN [Unknown]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah