urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Yaad~Se~Udaas : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Bohat mushkil se hoti hai tijaarat yaadon ki, Munaafa kam sahi, guzaara ho hi jaata hai.. Aao Kuch Dair Tazkara kar lein, Un Dinon Ka, Jab Tum Hamarey Thay.. Bichri hui rahoon say jo guzray hum kabhi, Har gaam par khoyee hui ek yaad mili hai.. Yun teri chahtain sambhaali hain, Jese eidi ho mere bachpan ki.. Anchal phir ashkon sey bhigoney wali hun, Ji bhar kay teri yad me roney wali hun.. Phir sy har boond mein teri yaad ki lazzat ly kr, Baarishein aag laganay ka hunar laayi hein… Rim jhim rim jhim baras rahi hai, Yaad tumhaari qatraa qatraa… Koi aur hi kaam somp do mujhe ab tum, Yeh kya tujhe sochna aur sochtey hi rehna.. Hosh apna bhi aye ga lekin pehle, Dil teri yaadon se rihaa to ho.. Mera kamraa hai ke ik duniya teri yaadon ki, Chairroon jiss cheez ko teri nishani nikley.. Shabb ki tanhai mein gungunaati rahin, Beeti batain mujhe yaad aati rahin.. Aaj tafseel nahi bas itna suno, Bohat aaj yaad aa rahe ho tum.. Zindagi ke udaas lamhon mein, Tujh ko main yaad karke roya hoon.. Kitni lambi thi yeh umar apni magar, Dekhtey dekhtey mukhtasar ho gayi.. Ay DiL Thori si Himmat to kar, Usey Mil ke Bhulaa detay hein..

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah