urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Zindagi~Asaliyat : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



zindagii yahii hai zindagii kuchh Khwaab chand ummeedeN inhiiN khilaunoN se tum bhii bahal sako to chalo [Nida Fazli] wahii hai zindagii lekin "Jigar" ye haal hai apanaa ke jaise zindagii se zindagii kam hotii jaatii hai [Jigar Moradabadi] ujaale apanii yaadoN ke hamaare saath rahane do na jaane kis galii meN zindagii kii shaam ho jaaye [Bashir Badr] zindagii yooN hu_ii basar tanhaa qaafilaa saath aur safar tanhaa [Gulzar] [qaafilaa = caravan] ai aashiq na pooch zindagii kyaa hai zindagii to taKhallus hai muhabbat kaa [Unknown] [taKhallus = pen-name] zindagii maut ban ga_ii hotii jaan se ham guzar gaye hote itane ishrat_zadaa haiN ham ke agar Gam na hotaa to mar gaye hote [Kunwar Mahinder Singh Bedi] merii zindagii bhii merii nahiiN ye hazaar KhaanoN meN baT ga_ii mujhe ek muTThii zamiin de ye zamiin kitanii simaT ga_ii [Bashir Badr] tahii zindagii se nahiiN ye fizaayeN yahaaN saikaRoN kaarawaaN aur bhii haiN [Allama Iqbal] amal se zindagii banatii hai jannat bhii jahannum bhii ye khaakii apanii fitrat meN na noorii hai na naarii hai [Allama Iqbal] zindagii jabr-e-musalsal kii tarah kaTii hai jaane kis zulm kii paa_ii hai sazaa yaad nahiiN [Sagar Siddiqui] [jabr-e-musalsal = continuous striwing/struggle] zindagii tujh se ummeed-e-wafaa kyaa rakkhooN jab mujhe chhoR gaye dost puraane mere [Muzaffar Warsi] [ummeed-e-wafaa = hope of loyalty] zindagii kii baat sun kar kyaa kaheN ek tamannaa thii taqaazaa ban ga_ii [Himayat Ali Shayar] [taqaazaa = demand] zindagii ek dauR hai to saaNs phoolegii zaroor yaa badal mafhoom us kaa yaa phir fariyaad na kar [Sharif Kanjahi] [dauR = race; mafhoom = meaning] zindagii jeene ko dii, jee maiN ne qismat meN likhaa thaa pee to pee maiN ne maiN na peetaa to teraa likhaa Galat ho jaataa tere likhe ko nibhaayaa kyaa Khataa kii maiN ne [Saeed Rahi] zindagii jab bhii terii bazm meN laatii hai hameN ye zameeN chaaNd se behtar nazar aatii hai hameN [Shahryar] zindagii yooN bhii guzar hii jaatii kyoN teraa raah_guzar yaad aayaa [Mirza Galib] wo aaye haiN pashemaaN laash par ab tujhe ai zindagii laa_ooN kahaaN se [Momin Khan Momin] rahegaa saath teraa pyaar zindagii ban kar ye aur baat merii zindagii wafaa na kare [Qateel Shifai] zindagii maiN bhii chalooNgaa tere peechhe peechhe tuu mere dost kaa naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa [Qateel Shifai] lamhaat-e-yaad-e-yaar ko sarf-e-duaa na kar aate haiN zindagii meN ye aalam kabhii kabhii [Shakeel Badayuni] [lamhaat-e-yaad-e-yaar = moments spent in remembering one's belowed] [sarf-e-duaa = expend in prayer; naqsh-e-kaf-e-paa = footprints] un kii yaad, un kii tamannaa, un kaa Gam kaT rahii hai zindagii aaraam se [Shakeel Badayuni] yooN ziNdagii guzaar rahaa hooN tere baGair jaise ko_ii gunaah kiye jaa rahaa hooN maiN [Jigar Moradabadi] gesoooN ke saaye meN aaraam_kash sar_barahanaa zindagii thii maiN na thaa [Abdul Hameed Adam] [sar_barahanaa = uncovered head] zindagii phailii hu_ii thii shaam-e-hijraaN kii tarah kis ko itanaa hausalaa thaa kaun jee kar dekhataa [Ahmed Faraz] [hijraaN = separation; hausalaa = strength/courage] zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaaN jaanaaN [Ahmed Faraz] [ataa = gift; basar = to liwe] kam se kam maut se aisii mujhe ummeed nahiiN ziNdagii too ne to dhoke pe diyaa hai dhokaa [Firaq Gorakhpuri] maut kaa bhii ilaaj ho shaayad zindagii kaa ko_ii ilaaj nahiiN [Firaq Gorakhpuri] is zindagii se ham ko na duniyaa milii na deeN taqadeer kaa mushaahidaa karate guzar ga_ii [Tilok Chand Mehroom] [deeN = religion/faith] aish se kyoN Khush huye, kyoN Gam se ghabaraayaa kiye ziNdagii kyaa jaane kyaa thii aur kyaa samajhaa kiye [Moen Ahsan Jazbi] hameN to shaam-e-Gam meN kaaTanii hai ziNdagii apanii jahaaN wo haiN, wahiiN ai chaaNd, le jaa roshanii apanii [Unknown] saaNs lene ko hii jeenaa nahiiN kahate haiN ziNdagii thii jo tere wasl kaa imkaaN hotaa [Yusuf Zafar] [imkaaN = possibility] tamaam umr teraa intazaar kar leNge magar ye raNj rahegaa ki ziNdagii kam hai [Shahid Siddiqi] waadaa kar ke aur bhii aafat meN Daalaa aap ne ziNdagii mushkil thii, ab maranaa bhii mushkil ho gayaa [Jaleel Manikpuri] wo naam jis ke liye zindagii gaNwaa_ii ga_ii na jaane kyaa thaa, magar kuchh bhalaa bhalaa saa thaa [Mazhar Imam] zindagii kis tarah kaTegii saif raat kaTatii nazar nahiiN aatii [Saifuddin Saif] zindaa hooN is tarah ki Gam-e-zindagii nahiiN jalataa huaa diyaa hooN magar roshanii nahiiN [Behzad Lakhanavi] ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai kahiiN ik haseen saa Khwaab hai kahiiN jaan lewaa azaab hai [Rajesh Reddy] zindagii too ne lahoo leke diyaa kuchh bhii nahiiN tere daaman meN kyaa mere liye kuchh bhii nahiiN [Rajesh Reddy] jeet le jaaye ko_ii mujh ko naseeboN waalaa zindagii ne mujhe daaNv pe lagaa rakhaa hai [Qateel Shifai] zindagii kii bisaat par aksar jeetii baazii bhii ham ne haarii hai [Tabish Dehlvi] ham bhii kyaa zindagii guzaar gaye dil kii baazii lagaa ke haar gaye [Daag Dehlvi] zindagii kaT ga_ii manaate huye ab iraadaa hai rooTh jaane kaa [Farhat Shehzad] kabhii dhoop de kabhii badaliyaaN dil-o-jaaN se donoN qubool haiN magar us mahal meN na qaid kar jahaaN zindagii kii hawaa na ho [Bashir Badr] paiGaam zindagii ne diyaa maut kaa mujhe marane ke intazaar meN jeenaa paRaa mujhe [Safi Lucknawi] tum muhabbat ko khel kahate ho ham ne barbaad zindagii kar lii [Bashir Badr] museebat aur lambii zindagii buzurgoN kii duaa ne maar Daalaa [Muztar Khairabadi] wahii qaafile wahii raaste wahii zindagii wahii marhale magar apane apane muqaam par kabhii tum nahiiN kabhii ham nahiiN [Shakeel Badayuni] allaah jaane maut kahaaN mar ga_ii "Khumaar" ab mujh ko zindagii kii zaroorat nahiiN rahii [Khumar Barabankwi] qatraa qatraa zindagii ke zahar kaa peenaa hai Gam aur Khushii hai do ghaRii peekar bahak jaane kaa naam [Anand Narain Mullah] wo kaun haiN jinheN taubaa kii mil ga_ii fursat hameN gunaah karane ko bii zindagii kam hai [Anand Narain Mullah] zindagii zindaadilii kaa naam hai murdaa dil kyaa Khaak jiyaa karate haiN [Nasikh] muTThiyoN meN Khaak lekar dost aaye waqt-e-kafan zindagii bhar kii muhabbat kaa silaa dene lage [Aziz Lucknawi] mere Khudaa mujh ko thoRii sii zindagii dede udaas mere janaaze se jaa rahaa hai ko_ii [Qamar Jalalabadi] shaameN kisii ko maaNgatii haiN aaj bhii "Firaq" go zindagii meN yooN mujhe ko_ii kamii nahiiN [Firaq Gorakhpuri] ai dost yooN to ham terii hasrat ko kyaa kaheN lekin ye zindagii ko_ii zindagii nahiiN [Firaq Gorakhpuri] zindagii jab azaab hotii hai aashiqii kaamayaab hotii hai [Unknown] zindagii shamaa kii maanind jalaataa hooN "Nadeem" bujh to jaa_ooNgaa magar subah to kar jaa_ooNgaa [Ahmed Nadeem Qasmi] zindagii hai apane qabze meN na apane bas meN maut aadamii majaboor hai aur kis qadar majaboor hai [Ahmed Amethvi] zindagii kyaa hai anaasir meN zahoor-e-tarateeb maut kyaa hai unhiiN ajzaa kaa pareshaaN honaa [Brij Narain Chakbast] zindagii tujh se har ek saaNs pe samajhautaa karooN shauq jeene kaa hai mujh ko magar itanaa to nahiiN [Muzaffar Warsi] zindagii jis ne talKh kii merii wo mujhe zindagii se pyaaraa hai [Suhail Akhtar] zindagii ke udaas lamhoN meN bewafaa dost yaad aate haiN [Unknown] zindagii ko bhii tere dar se bhikhaarii kii tarah ek pal ke liye rukanaa hai guzar jaanaa hai [Ahmed Faraz]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah