urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Back to Poets List

Hari Rajinder Manchanda Bani




Poet, progressive writer Rajinder Manchanda Bani (1932-1981) was an Indian poet. He was born at Multan in 1932. His family migrated to Delhi in 1947 where he died in 1981. He was a Master of Arts in Economics from Punjab University, and a school- teacher. Three collections: 1. Harf e Moetbar (1972), 2. Hisab e Rang (1976), 3. Shafaq e Shajjar He was a poet of neo-classical ghazal who did not use conventional imagery and was original in style; he was an effective user of Hindi diction. He was a physically weak person who did not maintain good health throughout his life-time but possessed a sturdy mind; he lived for 49 years. List of some famous Urdu Shairy by Aale Ahmed Saroor ajiib tajurbaa thaa bhii.D se guzarane kaa use bahaanaa milaa mujh se baat karane kaa phir ek mauj use khii.nch le ga_ii tah-e-aab tamaashaa Khatm huaa Duubane ubharane kaa mujhe Khabar hai ki rastaa mazaar chaahataa hai mai.n Khastaa_paa sahii lekin nahii.n Thaharane kaa thamaa ke ek bikharataa gulaab mere haath tamaashaa dekh rahaa hai vo mere Darane kaa ye aasmaa.N me.n siyaahii bikher dii kis ne hame.n thaa shauq bahut is me.n rang bharane kaa bas ek chiikh girii thii pahaa.D se yakalaKht ajab nazaaraa thaa phir dhundh ke bikharane kaa Another famous poetry that Urduwala.com has chosen from his collections to include here is as follows: vo baat baat pe jii bhar ke bolane vaalaa ulajh ke rah gayaa, Dorii ko kholane vaalaa lo saare shahar ke patthar sameT laaye ham kahaa.N hai ham ko shab-o-roz tolane vaalaa hamaaraa dil to samandar thaa us ne dekh liyaa bahut udaas huaa zahar gholane vaalaa kisii kii mauj-e-ravaa.N se khaa gayaa kyaa maat vo ek nazar me.n dilo.n ko TaTolane vaalaa vo aaj phir yahii doharaa ke chal diyaa 'Bani' mai.n bhuul ke nahii.n ab tujh se bolane valaa Another famous poetry of Rajinder Baani is as follows: paiham mauj-e-imkānī meñ aglā paañv na.e paanī meñ saf-e-shafaq se mire bistar tak sātoñ rañg farāvānī meñ badan visāl-āhañg havā sā qabā ajiib pareshānī meñ kyā sālim pahchān hai us kī vo ki nahīñ apne saanī meñ Tok ke jaane kyā kahtā vo us ne sunā sab be-dhyānī meñ yaad tirī jaise ki sar-e-shām dhund utar jaa.e paanī meñ ḳhud se kabhī mil letā huuñ maiñ sannāTe meñ vīrānī meñ āḳhir sochā dekh hī liije kyā kartā hai vo man-mānī meñ ek diyā ākāsh meñ 'bānī' ek charāġh sā peshānī meñ



Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGaah