urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Dost~Dosti~etc : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



dost / dostii dost Gam_Khwaarii meN merii sa_ii farmaayeNge kyaa zaKhm ke bharane talak naaKhoon na baRh jaayeNge kyaa [Mirza Ghalib] jo munkir-e-wafaa ho fareb us pe kyaa chale kyoN bad_gumaaN hooN dost se dushman ke baab meN [Mirza Ghalib] nahiiN gar hamdardii aasaaN na ho ye rashk kyaa kam hai na dii hotii Khudaayaa aarzoo-e-dost dushman ko [Mirza Ghalib] "Ghalib" nadeem-e-dost se aatii hai boo-e-dost mashGool-e-haq hooN baNdagii-e-but_raab meN [Mirza Ghalib] ye kahaaN kii dostii hai ke bane haiN dost naaseh ko_ii chaarasaaz hotaa ko_ii Gam_gusaar hotaa [Mirza Ghalib] ye fitnaa aadamii kii Khaanaaveeraanii ko kyaa kam hai hue tum dost jis ke dushman us kaa aasamaaN kyoNho [Mirza Ghalib] tum takalluf ko bhii iKhlaas samajhate ho "Faraz" dost hotaa nahiiN har haath milaane waalaa [Ahmed Faraz] bhool shayad bahut baRii kar lii dil ne duniyaa se dostii kar lii [Bashir Badr] ai dost yooN to ham terii hasrat ko kyaa kaheN lekin ye zindagii bhii ko_ii zindagii nahiiN [Firaq Gorakhpuri] bad_gumaaN ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe ye jhijhakte hue milanaa koi milanaa bhii nahiiN [Firaq Gorakhpuri] [bad_gumaaN = without doubt/suspicion] hameN bhii dostoN se kaam aa paRaa yaanii hamaare dostoN ke bewafaa hone kaa waqt aayaa [Hari Chand Akhtar] mujhe mere dostoN se bachaa_iye "Rahi" dushmanoN se maiN Khud nipaT looNgaa [Saeed Rahi] dostoN se aaj mulaaqaat kii shaam hai ye sazaa kaaT ke phir apane ghar ko jaa_ooNgaa [Mazhar Imam] dushmanoN se pashemaaN honaa paRaa dostoN kaa Khuloos aazamaane ke baad [Khumar Barabankvi] haTaaye the jo raah se dostoN kii wo patthar mere ghar meN aane lage haiN [Khumar Bbarabankvi] saaf kab imtihaan lete haiN wo to dam deke jaan lete haiN zid har ek bat meN nahiiN achchhii dost kii dost maan lete haiN [Daag Dehlvi] giregii kahaaN ye barq dosto meraa to kahiiN aashiyaaN bhii nahiiN [Mumtaz Mirza] kyaa lutf-e-dostii ki nahiiN lutf-e-dushmanii dushman ko bhii jo dekhiye pooraa kahaaN hai ab [Daag Dehlvi] maiN muddatoN jiyaa hooN kisii dost ke baGair ab tum bhii saath chhoRane ko kah rahe ho, Khair [Firaq Gorakhpuri] ham se poochho na dostii kaa silaa dushmanoN kaa bhii dil hilaa degaa [Sudarshan Faakir] wo zamaanaa bhii tumheN yaad hai tum kahate the dost duniyaa meN nahiiN "Daag" se bahatar apanaa [Daag Dehlvi] merii Khushii se mere dostoN ko Gam hai "Shamim" mujhe bhii is kaa bahut Gam hai kyaa kiyaa jaaye [Shamim Jaipuri] dostii jab kisii se kii jaaaye dushmanoN kii bhii raay lii jaaye [Raha Indori] [raay = opinion] ai dost tum se tark-e- ta'alluq ke baawajood mehsoos kii hai terii zaroorat kabhii kabhii [Sahir Ludhianvi] laakh be-mehar sahii dost to rakhate ho "Faraz" inheN deKho ke jinheN ko_ii bhii sitam_gar na milaa [Ahmed Faraz ] yoN lage dost teraa mujh se Khafaa ho jaanaa jis tarah phool se Khushboo kaa judaa ho jaanaa [Qateel Shifai] DhooNDhane par bhii na milataa thaa mujhe apanaa wajood maiN talaash-e-dost meN yooN benishaaN thaa dosto [Jagannath Azad] dost ban ban ke mile mujh ko miTaanewaale maiN ne dekhe haiN ka_ii raNg badalanewaale [Saeed Rahi] mere ham_nafas, mere ham_nawaa, mujhe dost ban ke daGaa na de maiN hooN dard-e-ishq se jaaN ba_lab, mujhe ziNdagii kii duaa na de [Shakeel Badayuni] [ba_lab = at the brink of] ai dost miT gayaa hooN fanaa ho gayaa hooN maiN is daur-e-dostii kii dawaa ho gayaa hooN maiN [Hafeez Jullundhary] [daur = age/era] har taraf zeest kii raahoN meN kaRii dhoop hai dost bas terii yaad ke saaye haiN panaahoN kii tarah [Sudarshan Faakir] [zeest = life; kaRii = strong; panaah = shelter/protection] Khudaa jab dost hai ai "Daag" kyaa dushman se andeshaa hamaaraa kuchh kisii kii dushmanii se ho nahiiN sakataa [Daag Dehlvi] [andeshaa = apprehension/fear] apanoN ne nazar pherii to dil ne to diyaa saath duniyaa meN ko_ii dost mere kaam to aayaa [Shakeel Badayuni] wo meraa dost hai saare jahaaN ko hai maaloom daGaa kare wo kisii se to sharm aaye mujhe [Qateel Shifai] [daGaa = betrayal]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah