urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Ishq : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Ishq karna hai to phir ishq ki toheen na kar, Ya to behosh na ho, ho to phir hosh na kar.. Zarrey zarrey se nikalti thin ajab awaazain, Sab se larrney ke liye ishq akela niklaa.. Us ka ishq chaand jesa tha, Pura hua to ghattney laga.. Sikka Banaa Ke Jab Uchhala Gaya Mujhe, Mein Teri Haar Jeet Mein Taqseem Hogaya.. Tera israar sar ankhon per, tujh ko bhool janey ki, Mein koshish kar ke dekhoon ga, magar vaada nahi karta.. saat sarroon ka yea behta darya teray naam, har sur may ik rang dhank ka teray naam, jungle jungle roonay waalay sub moasam, aur hawa ka sabaz dupatta teray naam, hijar ki shaam akeli raat k khali dar, subha-e-farak ka dard ujala teray naam, jitnay khuwab khuda ny meray naam likhay, in khawaboon ka rysha rysha teray naam… Mohabbat woh taluq hai, agar mojood ho jaye, Zameen-o-aasmaan ka faasila, nabood* ho jaye.. Mohabbat ko laazim hai awaargi bhi, Nahin Ishq karta assar bethey bethey.. Nisaab-e-ishq mein . . ! Ik lazmi mazmoon hota tha Wafa unwaan tha jis ka boht mushkil tha us ko yaad rakhna aur Bhula dena nahi aasan tha jis ka Magar is daur mein mazmoon ab ye ikhtiyar hai boht mushkil hai is ko yaad rakhna aur bhula dena boht aasan hai jis ka Nisaab-e-ishq mein . . ! Ik laazmi mazmoon hota tha. . ! Junoo’n ki raah mein sab kuch ganwa diya lekin. . ! Mery shaoor ki awargi nahi jaati. . ! Mery itraaf ab tou phailay kalay saye se hain Mera mazi to mitti mein kabhi ka kho gaya aur haal. . Mitti ho raha hai aur fard tootty taaray ki surat hai Mery mathay pe qudrat ne siyahi thop di hai aur ab is ko mitana kis k bus mein hai? Mery dil ko faqat ab maut ki khuwahish satati hai Mujhy rango’n, gulabo’n, khushbuo’n k khuwab dikhlana nahi mumkin Koi bhi shae mujhy nahi bhati nahi janaa’n! Muhabbat, wasl, shohrat, husn, qismat k sahefo’n tak ye sab milta hai hum ko aazmanay ko Wafa kesi? KAHAN KA ISHQ? Jala kar shama-e-ulfat aap ne foran hi gul kar di. . ! Khudara ye bata dejiye k parwano’n ka kia ho ga. ? Hamaray dil ne Tumhain bhulanay ki thaan li hai Magar ye mumkin hi kis tarha hai tumhain bhula dain Hamari palko’n ki chilmano’n mein tumhara chehra chupa hua hai Tumhain jo dekha Hamari dharkan k taar baajay Khananan khananan chooriya’n pukarain Chananan chananan payalo’n ne cherra, fazain jhoomain hathelio’n ko hina ne chooma to choomti hi chali gai hai Ye zulf gainday ki khushbuo’n mein rachi basi hai Tumhain jo dekha Hawa ne sargoshio’n mein poocha Ho khoi khoi c kis liye tum? Suno saheli chupa rahi ho. . Tumhain muhabbat hui kis se? Tumhain muhabbat hui kis se? Preet k rung mein tan man rung kar. . Apni sudh budh kho baithay gi Raikhao’n ko ro baithay gi Dekh saheli youn na karna Preet ki agni se tu darna. . ! Preet na karna. . ! Muhabbat rait jesi hai. . ! kisi bhi band muthi mein magar ye bhi haqeeqat hai. Achanak be-khayali mein Bina sochay Bina samjhay Yunhi bus be-irada hi Ye muthi khul bhi jati hai. . 1 Uss Ki Awaz Sun Lon Tou Mil Jata Hai Sukoon Dil Ko, Dekho Tou Sahi Mere Dard Ka Elaaj Kaisa Hai.. Yun to hain wafaa ki beshumaar nishaaniyan, Magar sab se niraaley hain tere khat.. Jab pyaar ki nazar se unhey dekhte dekha, Paani ki tarah behh geya, barson ka gilaa bhi.. Kitna hum us ko chahtey hain Adam, Jiss ka nafrat se naam lete hain.. Woh mere sath hi rehta hai jahan tak jaaon, Main hoon daryaa to hai woh shakhs kinara mera.. Ishq mein khoye jao ge to baat ki tey bhi paao ge, Qudrat kuch jano ge, dil ko jo kahin lagaao ge.. Jiss umar main aqal aati hai amooman*, Hum us umar mein, ishq kar bethey.. Aayiney ki aankh hi kuch kam na thi mere liye, Jaaney ab kya kya dikhaaye ga tumhara dekhnaa.. Hamara tumhara ajab haal hai, Nazar mil gayi muskuraney lage.. Wohi zameen hai wohi aasmaan wohi hum tum, Sawaal yeh hai zamaana badal geya kaisey.. Mohabbat ki hai bas itni kahani, Safar asaan hai, manzil karri hai.. Na Gharzz Kissi Se, Na Vaasta, Mujhay Kaam Apnay hi Kaam Se, Tere Zikr Se, Teri Fikr Se, Teri Yaad Se, Tere Naam Se.. Kon aa kar chairrta hai mere dil ko in dino, Us jagha hota nahin hai, jis jagha rakhta hoon mein.. Kis shoq, kis tamanna, kis darjaa saadgi se, Hum aap ki shikayat karte hain aap hi se.. Chalo usey dil hi dil main chahain, Sunaa hai dil ko dil se raah hoti hai..

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah