urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Mulaaqat~Deedar : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



mulaaqaat jaane waale se mulaaqaat naa hone paa_ii dil kii dil meN hii rahii baat naa hone paa_ii [Shakeel Badayuni] kal raat zindagii se mulaaqaat ho ga_ii lab thar-tharaa rahe the magar baat ho ga_ii [Shakeel Badayuni] tuu dil pe bojh leke mulaaqaat ko na aa milanaa hai is tarah to bichhaRanaa qubool hai [Unknown] ab kaun baat rah ga_ii ye baat bhii ga_ii yaani kabhii kabhii kii mulaaqaat bhii ga_ii [Mubarak Azeemabadi] aaj to mil ke bhii na mile hoN tujh se chauNk uThate the kabhii terii mulaaqaat se ham [Jan Nissar Akhtar] na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii baRii aarzoo thii mulaaqaat kii [Bashir Badr] maiN ne maanaa ke mujhe un se muhabbat na rahii ham_nashiiN phir bhii mulaaqaat se jee Darataa hai [Hasan Naeem] beqaraarii thii sab ummiid-e-mulaaqaat ke saath ab wo agalii sii daraazii shab-e-hijraaN meN nahiiN [Altaf Husain Hali] ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ganeemat hai kise hai kal kii Khabar thoRii door saath chalo [Ahmed Faraz] munhasir waqt-e-muqarrar pe mulaaqaat hu_ii aaj ye aap kii jaanib se na_ii baat hu_ii [Hasrat Mohani] kahaaN wo shoKh mulaaqaat Khud se bhii na hu_ii bas ek baar hu_ii aur phir kabhii na hu_ii [Jigar Moradabadi] us ne kahaa itanii mulaaqaat bahut hai maiN ne kahaa ruk jaao abhii raat bahut hai aaNsoo mere tham jaayeN to phir shauq ke jaanaa aise meN kahaaN jaaoge barsaat bahut hai [Unknown] uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiiN baa_is-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahiiN [Daag Dehlvi] hooroN se na hogii ye madaaraat kisii kii yaad aayegii jannat meN mulaaqaat kisii kii [Bekhud Dehlvi] chaaNd nikalaa thaa magar raat na thii pahalii sii ye mulaaqaat, mulaaqaat na thii pahalii sii ranj kuchh kam to huaa aaj tere milane se ye alag baat ke wo baat na thii pahalii sii [Nasir Kazmi] kaise kah dooN ki mulaaqaat nahiiN hotii hai roz milate haiN magar baat nahiiN hotii hai [Shakeel Badayuni] musaafir haiN ham bhii musaafir ho tum bhii kisii moR pe phir mulaaqaat hogii [Bashir Badr] dil meN hai mulaaqaat kii Khwaahish kii dabii aag mehandii lage haathoN ko chhupaa kar kahaaN rakhooN [Kishwar Naheed] "Nadeem" jo bhii mulaaqaat thii adhoorii thii ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the [Ahmed Nadeem Qasmi] har mulaaqaat kaa anjaam judaa_ii kyooN hai ab to har waqt yahii baat sataatii hai hameN [Shahryar] tujh se mil kar hameN ronaa thaa bahut ronaa thaa tangi-e-waqt-e-mulaaqaat ne rone na diiyaa [Sudarshan Faakir]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah