urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Sharaab : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



sharaab zaahid sharaab peene de masjid meN baiTh kar yaa wo jagah bataa jahaaN par Khudaa na ho [Mirza Ghalib] go haath ko jumbish nahiiN aaNkhoN meN to dam hai rahane do abhii saaGar-o-meenaa mere aage [Mirza Ghalib] wo cheez jis ke liye ham ko bahisht azeez siwaaye baadaa-e-gul_faam-e-mushk_boo kyaa hai [Mirza Ghalib] piyooN sharaab agar Khum bhii dekh looN do chaar ye sheeshaa-o-qadah-o-koozaa-o-suboo kya hai [Mirza Ghalib] 'Ghalib' chuTii sharaab par ab bhii kabhii-kabhii peetaa hooN roz-e-abr-o-shab-e-maah_taab meN [Mizar Ghalib] mujh tak kab un kii bazm meN aataa thaa daur-e-jaam saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab meN [Mirza Ghalib] pilaa de ok se saaqii jo ham se nafarat hai pyaalaa gar nahiiN detaa na de sharaab to de [Mirza Ghalib] [ok = cupped hand] dekhaa kiye wo mast nigaahoN se baar baar jab tak sharaab aaye ka_ii daur ho gaye [Shad Azeemabadi] gar aag maikashoN kii sazaa hai to yaa Khudaa dozaKh meN ek nahar bahaa de sharaab kii [Unknown] [dozaKh = hell; nahar = canal] merii sharaab kii kyaa qadr tujh ko ai waa_iz jise maiN pee ke duaa dooN wo jannatii ho jaaye [Unknown] merii tabaahii kaa ilzaam ab sharaab pe hai maiN aur karataa bhii kyaa tum pe aa rahii thii baat [Unknown] sheeshaa rahe baGal meN jaam-e-sharaab lab par saaqii yahii mazaa hai do din kii zindagii meN [Unknown] Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar meN shaamil kar lo nashaa baRhataa hai sharaabeN jo sharaaboN meN mileN [Ahmed Faraz] rah ga_ii jaam meN angaRaa_iyaaN leke sharaab ham se maaNgii na ga_ii un se pilaa_ii na ga_ii [Unknown] hijr meN kaif-e-iztaraab na poochh Khoon-e-dil bhii sharaab honaa thaa [Majaz] [hijr = separation; iztaraab = restlessness] mere ashk bhii haiN is meN ye sharaab ubal na jaaye meraa jaam chhoone waale teraa haath jal na jaaye [Anwar Mirzapuri] rooh kis mast kii pyaasii ga_ii maiKhaane se mai uRii jaatii hai saaqii tere paimaane se [Unknown] na dil meN ko_ii Gam rahe na merii aaNkh nam rahe har ek dard ko miTaa sharaab laa sharaab de [Ibrahim Ashk] yahaaN ko_ii na jee sakaa, na jee sakegaa hosh meN miTaa de naam hosh kaa, sharaab laa sharaab laa [Madanpal] aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye us ke baad aaye jo azaab aaye [Faiz Ahmed Faiz] garche ahal-e-sharaab haiN ham log ye na samajho Kharaab haiN ham log [Jigar Moradabadi] tum nahiiN Gam nahiiN sharaab nahiiN aisii tanhaa_ii kaa jawaab nahiiN [Saeed Rahi] chhalak ke kam na ho aisii ko_ii sharaab nahiiN nigaah-e-nargis-e-r'anaa teraa jawaab nahiiN [Firaq Gorakhpuri]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah