urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Tasavvur~Khayal~Fikr : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



tasavvur jii DhooNDataa hai phir vahii fursat ke raat din baiThe raheN tasavvur-e-jaanaaN kiye hue [Mirza Ghalib] shaam se un ke tasavvur kaa nashaa thaa itanaa neend aa_ii hai to aaNkhoN ne buraa maanaa hai [Unknown] ye hangaamaa-e-tajdiid-e-waafaa merii afsurdaa javaanii ko raas nahiiN maiN ne jo phool chune the tere qadamoN ke liye un kaa dhundhalaa saa tasavvur bhii mere paas nahiiN [Sahir Ludhianvi] taRapeNge terii yaad meN ghabaraayeNge tanhaa ai dost kisii taur na jee paayeNge tanhaa jeene kaa akele to tasavvur bhii nahiiN hai ham tujh se judaa hoNge to mar jaayeNge tanhaa [Irfan 'Abid'] thii ek shaKhs ke tasavvur se ab wo raanaa_ii-e-Khayaal kahaaN [Mirza Ghalib] yooN barasatii haiN tasavvur meN puraanii yaadeN jaise barasaat meN rim_jhim meN samaaN hotaa hai [Qateel Shifai] ham band kiye aaNkh tasavvur meN paRe haiN aise meN ko_ii chham se jo aa jaaye to kyaa ho [Riaz Khairabadi] achchhaa hai sar_angusht-e-hinaa_ii kaa tasavvur dil meN nazar aatii to hai ek boond lahoo kii [Mirza Ghalib] jo bahut door thaa aaj baahoN meN hai jo tasavvur meN thaa vo nigaahoN meN hai [Unknown] kuchh nazar nahiiN aataa un ke tasavvur ke sivaa hasarat-e-deedaar ne aaNkhoN ko andhaa kar diyaa [Unknown] hairaaN hue na the jo tasavvur meN bhii kabhii tasveer ho gaye merii tasveer dekh kar [Unknown] phir nazar meN phool lahake dil meN phir shamayeN jaliiN phir tasavvur ne liyaa us bazm meN jaane kaa naam [Faiz Ahmed Faiz] raat bhar un kaa tasavvur dil ko taRapaataa rahaa ek naqshaa saamane aataa rahaa jaataa raahaa [Akhtar Shirani] mileN shaam ko aasmaaN aur zameeN tasavvur meN mil leNge ham bhii kahiiN [Unknown] chale jaayiye mujh se daaman bachaakar tasavvur se bach kar kahaaN jaayiyegaa [Unknown] terii yaad hai yaa teraa tasavvur kabhii 'Daag' ko ham ne tanhaa na dekhaa [Daag Dehlvi] tasavvur meN udhar vo aa rahe haiN idhar dil hai ki baiThaa jaa rahaa hai [Sirajul Hasan Siraj] tuu yaad aaye tere jaur-o-sitam phir bhii na yaad aaye tasavvur meN ye maasoomii baRii mushkil se aatii hai [Firaq Gorakhpuri] do ghaRii dil ke bahalane kaa sahaaraa bhii gayaa liijiye aaj tasavvur meN bhii tanhaa_ii hai [Manzar Lucknavi] ai zauq-e-nazaaraa kyaa kahiye nazaroN meN ko_ii soorat hii nahiiN ai zauq-e-tasavvur kyaa kiije ham soorat-e-jaanaaN bhool gaye [Majaz] toone dekhii hai wo peshaanii wo rukhsaar wo hoNTh zindagii un ke tasavvur meN guzaarii ham ne [Faiz Ahmed Faiz] un kaa zikr un kaa tasavvur un kii yaad kaT rahii hai zindagii aaraam se [Mahashar Badayuni] gum neend kii aagosh meN hone nahiiN detaa raatoN ko tasavvur teraa sone nahiiN detaa [Arzoo Lucknawi] khul nahiiN sakatii haiN ab aaNkheN merii jee meN ye kis kaa tasavvur aa gayaa [Khwaja Mir Dard] aaNsoo nikal rahe haiN ban ke tasavvur meN phool shaadaab ho rahaa hai gulistaan-e-aarzoo [Akhtar Shirani]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah