urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Zaahid : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



zaahid sab haseeN haiN zaahidoN ko naapasand ab ko_ii hoor aayegii in ke liye [Ameer Minai] [hoor = fairy/celestial nymph] zaahid ye merii shoKhii-e-rindaanaa dekhanaa rahamat ko baatoN baatoN meN bahalaa ke pii gayaa [Jigar Moradabadi] jahaaN se raastaa bhoolaa hai baarahaa zaahid wahiiN se raah muRii hai sharaab_Khaane kii [Asar Lucknawi] masjid meN bulaate haiN hameN zaahid-e-naafaham hotaa kuchh agar hosh to maiKhaane na jaate [Ameer Minai] rind-e-Kharaab_haal ko zaahid na chheR tuu tuj ko paraa_ii kyaa paRii apanii nibheR tuu [Ibrahim Zauq] zaahid sharaab piine se kaafir huaa maiN kyooN kyaa DeR chulloo paanii meN imaan bah gayaa [Ibrahim Zauq] samajhaataa kyaa hai tuu deewaanaagaan-e-ishq ko zaahid ye ho jaayeNge jis jaanib usii jaanib Khudaa hogaa [Jigar Moradabadi] josh-e-rahamat ke waaste zaahid hai zaraa sii gunah_gaarii shart [Daag Dehlvi] lutf-e-mai tujh se kyaa kahooN zaahid haaye kam_baKht toone pii hii nahiiN [Daag Dehlvi] zaahid mazaa to jab hai azaab-e-sawaab kaa dozaKh meN baadaakash na ho jannat meN tuu na ho [Daag Dehlvi] dekh us chashm-e-mast ko zaahid tujh se itanii bhi pee nahiiN jaatii [Daag Dehlvi] mol jannat ka huaa naqd-e-ibaadat zaahid haaye kahiiN maal kahiiN daam liye jaate haiN [Daag Dehlvi] jo mai_farosh se saudaa bane to kar lenaa kamii ho hazrat-e-zaahid wo ham se bhar lenaa [Daag Dehlvi] aashiqii se milegaa ai zaahid bandagii se Khudaa nahiiN milataa [Daag Dehlvi] apanii tasbeeh rahane de zaahid daanaa-daanaa shumaar kaun kare [Daag Dehlvi] [shumaar = count] sach kahaa thaa tuu ne zaahid zahar-e-qaatil hai sharaab ham bhii kahate the yahii jab tak bahaar aa_ii na thii [Jaleel Manikpuri] gar yaar mai pilaaye to phir kyoN na peejiye zaahid nahiiN miaN shaiKh nahiiN kuchh walii nahiiN [Insha] bacheNge hazrat-e-zaahid kahiiN baGair piiye hamaare haath lage haiN janaab barasoN meN [Unknown] zaahid ne meraa haasil-e-imaaN nahiiN dekhaa ruKh par terii zulfoN ko parishaaN nahiiN dekhaa [Asghar Gondvi] huaa hai chaar sajdoN par ye daawaa zaahido tum ko Khudaa ne kyaa tumhaare haath jannat bech Daalii hai [Daag Dehlvi] botal khulii ko hazrat-e-zaahid ke waaste maare Khushii ke kaag bhii do Gaz uchhal gayaa [Qasr Dehlvi] baiThataa hai hameshaa rindoN meN kahiiN zaahid walii na ho jaaye [Bekhud Dehlvi] pee bhii le do ghooNT zaahid pee bhii le maikade se kaun pyaasaa jaayegaa [Bekhud Dehlvi] zaahidoN ko kisii kaa Khauf nahiiN sirf kaalii ghaTaa se Darate haiN [Shakeel Badayuni] is taubaa par hai naaz mujhe zaahid is qadar jo TooT kar shareek hooN haal-e-tabaah meN [Daag Dehlvi] zaahid kuchh aur ho na ho maiKhaane meN magar kyaa kam ye hai ki shikavaa-e-dair-o-haram nahiiN [Jigar Moradabadi]

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah