urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Zakhm~o~Dard : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Zahir me to hamdard hi atey hain nazar log, Zakhmon ko merey cherney atey hain magar log.. Mohabbat ho chuki puri.. Zakhmi Shayari Mohabbat ho chuki puri. Chalo ab zakhm gintey hain.. Lab pe sajaa liye yunhi kuch ajnabi se naam, Dil main tamaam zakham kisi ashnaa ke they.. Kya koi neyi baat nazar aayi hai hum me, Aayina humain dekh kar heraan sa kyon hai? Dil o jaan main woh phool khilaane aye, Woh mere dil pe neya zakham lagane aye.. Chaara saazon se alag hai mera meyaar ke main, Zakham khaaon ga to kuch aur sanwar jaaon ga.. Zakhmon ke bawjood mera hauslaa to dekh, Tu hanss diya to mein bhi tere sath hanss diya.. Thokar se mera paaon to zakhmi hua zaroor, Raste mein jo kharra tha woh kohsaar hatt geya.. Tang hota ja raha hai haala-e-yaksaaniyat, Kya inhii pheekay dino mein ghutt ke marna hai mujhe.. Tamaam umar hi guzri hai dastak’en sunte, Humain to raas na aya khud apne ghar rehna.. Jeevan Zehar Bhara Saagar!! Kab Tak Amrit Gholaien Gay.?? Neend To Kya Aayegi “Faraz” Maut Aayi To So Lain ge.. Aaj Itna Udaas Hoon “Nasir”, Jaise Zulfaien Kisi Jawan Bewa Ki..!! Jis taraf bhi dekhon tera hi aks muyasar hy ankhon ko, Jan-e-man, ye hr koi tum jaisa hy ya sara zamana tum ho. Idhar aa sitamgar hunar azmayein, Tu teer aazma hum jigar azmayein..

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah