urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Back to Poets List

Khamosh Ghazipuri




 

Muzaffar Hussain, Ghazipur UP.

Short introduction:

Pen Name :'Khamosh'
Real Name : Muzaffar Hussain
Born in : Ghazipur, Uttar pradesh
Born on :20 Jul 1932 
Died on :27 Sep 1981 


Few of his Shairis:
1. niind to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai 
   un ke aaghosh meN sar ho ye zaruri to nahin
   
2. sab ki nazron meN ho saaqi ye zaroori hai magar 
   sab pe saaqi ki nazar ho ye zaruri to nahin
   
3. sheikh karta to hai masjid meN ḳhuda ko sajde 
   us ke sajdon meN asar ho ye zaruri to nahin
   


Following is full Ghazal by Khamosh Ghazipuri:

umr jalvoñ meñ basar ho ye zarūrī to nahīñ 
har shab-e-ġham kī sahar ho ye zarūrī to nahīñ 

chashm-e-sāqī se piyo yā lab-e-sāġhar se piyo 
be-ḳhudī āThoñ pahar ho ye zarūrī to nahīñ 

niiñd to dard ke bistar pe bhī aa saktī hai 
un kī āġhosh meñ sar ho ye zarūrī to nahīñ 

shaiḳh kartā to hai masjid meñ ḳhudā ko sajde 
us ke sajdoñ meñ asar ho ye zarūrī to nahīñ 

sab kī nazroñ meñ ho saaqī ye zarūrī hai magar 
sab pe saaqī kī nazar ho ye zarūrī to nahīñ 

mai-kashī ke liye ḳhāmosh bharī mahfil meñ 
sirf ḳhayyām kā ghar ho ye zarūrī to nahīñ 


Ghazipur is a land of few famous literary people. Rahi Massom Raza has been a 
luminory. It was a land where Sir Syed Ahmad Khan also worked. Aasi Ghazipuri
is another name in poetry. Urmilesh, PN Singh are two big names in Hindi circles.
In new generation Obaidurrahman in field of history and Anwar Jamal in the field 
of technology and literature are making the city proud. 

Above Ghazal in Hindi:

उम्र जल्वों में बसर हो ये ज़रूरी तो नहीं 
हर शब-ए-ग़म की सहर हो ये ज़रूरी तो नहीं 

चश्म-ए-साक़ी से पियो या लब-ए-साग़र से पियो 
बेख़ुदी आठों पहर हो ये ज़रूरी तो नहीं 

नींद तो दर्द के बिस्तर पे भी आ सकती है 
उनकी आग़ोश में सर हो ये ज़रूरी तो नहीं 

शैख़ करता तो है मस्जिद में ख़ुदा को सज्दे 
उसके सज्दों में असर हो ये ज़रूरी तो नहीं 

सबकी नज़रों में हो साक़ी ये ज़रूरी है मगर 
सब पे साक़ी की नज़र हो ये ज़रूरी तो नहीं

Another Ghazal:

Dair-o-haram me.n basane vaalo ,
maiKhvaaro.n me.n phuuT na Daalo,
tuufaan se ham Takraaye.nge,
tum apnii kashtii ko sambhaalo ,
maikhaane me.n aaye vaa_iz,
in ko bhii i.nsaa.N banaa lo,
aariz-o-lab saadaa rahne do,
taaj mahal pe rang na Daalo.





Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGaah